Sher of Nasim Zahid
aa.ī vo rafta rafta taqaddus kī raah tak
phir yuuñ huā ki niyyat-e-nāseh bigaḌ ga.ī
aai wo rafta rafta taqaddus ki rah tak
phir yun hua ki niyyat-e-naseh bigaD gai
kirdār rahnumā kā mujhe lag rahā hai yuuñ
talvār jaise ho kisī pāgal ke haath meñ
kirdar rahnuma ka mujhe lag raha hai yun
talwar jaise ho kisi pagal ke hath mein
maiñ sabr kar rahā huuñ to zālim hai tā'na-zan
us ko ḳhabar nahīñ ki ḳhudā mere saath hai
main sabr kar raha hun to zalim hai ta'na-zan
us ko KHabar nahin ki KHuda mere sath hai
muddatoñ pahle uḌā hai vo parinda lekin
aaj tak merī nazar se kabhī ojhal na huā
muddaton pahle uDa hai wo parinda lekin
aaj tak meri nazar se kabhi ojhal na hua
mujhe ḳhabar hai use aisā dard hai 'zāhid'
jise davā nahīñ rishvat sukūn detī hai
mujhe KHabar hai use aisa dard hai 'zahid'
jise dawa nahin rishwat sukun deti hai
baḌe armān se aayā huā thā
vo mujh ko lūTne mehmān ban kar
baDe arman se aaya hua tha
wo mujh ko luTne mehman ban kar
banā liyā hai yahāñ is liye makāñ maiñ ne
ye vo jagah hai jahāñ mujh se koī bichhḌā thā
bana liya hai yahan is liye makan main ne
ye wo jagah hai jahan mujh se koi bichhDa tha
dekh ke daaġh apne chehre par
tum to ā.īna saaf karne lage
dekh ke dagh apne chehre par
tum to aaina saf karne lage
ye be-vaqār siyāsat kā ek hissa hai
saroñ kī fasl ugaa.ī ga.ī hai jalse meñ
ye be-waqar siyasat ka ek hissa hai
saron ki fasl ugai gai hai jalse mein
ye peḌ hai kisī kī mohabbat kī yādgār
ai āñdhiyo ye tum se girāyā na jā.egā
ye peD hai kisi ki mohabbat ki yaadgar
ai aandhiyo ye tum se giraya na jaega
maañ ke ḳhulūs jaisā thā mausam bahār kā
fasl-e-ḳhizāñ hai sar-phirī aulād kī tarah
man ke KHulus jaisa tha mausam bahaar ka
fasl-e-KHizan hai sar-phiri aulad ki tarah
muqaddas ashk haiñ mujh ko mayassar
gunāhoñ kī siyāhī dhul rahī hai
muqaddas ashk hain mujh ko mayassar
gunahon ki siyahi dhul rahi hai
tujh ko hai nāqidīn se nafrat
tere kamre meñ aa.ina kyoñ hai
tujh ko hai naqidin se nafrat
tere kamre mein aaina kyon hai
ye aañsū poñchh lījiye aur muskurā.iye
chāra nahīñ hai koī bhī ruḳhsat kiye baġhair
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraiye
chaara nahin hai koi bhi ruKHsat kiye baghair
tā'bīr ke parindoñ ne ruḳh hī badal liyā
jab se hamāre ḳhvāb hue jaal kī tarah
ta'bir ke parindon ne ruKH hi badal liya
jab se hamare KHwab hue jal ki tarah
use daulat kamāne kī havas thī
nazar se ab nazāra ho ga.ī hai
use daulat kamane ki hawas thi
nazar se ab nazara ho gai hai
uf rahbaroñ meñ aisā koī rāhbar nahīñ
jis kī nigāh zarre meñ ḳhurshīd DhūñD le
uf rahbaron mein aisa koi rahbar nahin
jis ki nigah zarre mein KHurshid DhunD le
dariyā meñ Dubo deñge sabhī shikve gile ham
sāhil pe mulāqāt mulāqāt rahegī
dariya mein Dubo denge sabhi shikwe gile hum
sahil pe mulaqat mulaqat rahegi
uf shab-e-hijr kī siyāhī aaj
kufr kī tīrgī se baḌh kar hai
uf shab-e-hijr ki siyahi aaj
kufr ki tirgi se baDh kar hai
nahīñ aate magar tum ajnabī bilkul nahīñ ho
hamāre ghar kī dīvāreñ tumheñ pahchāntī haiñ
nahin aate magar tum ajnabi bilkul nahin ho
hamare ghar ki diwaren tumhein pahchanti hain