Navneet Sharma
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 8
choT khaa.e hue lamhoñ kā sitam hai ki use
ruuh ke chehre pe dikhte haiñ muhāñse kitne
choT khae hue lamhon ka sitam hai ki use
ruh ke chehre pe dikhte hain muhanse kitne
-
Share this
- See Ghazal
ek tasvīr ko haTāyā bas
dil kī dīvār ḳhālī ḳhālī hai
ek taswir ko haTaya bas
dil ki diwar KHali KHali hai
-
Share this
- See Ghazal
jiyā huuñ umr bhar maiñ bhī akelā
use bhī kyā milā nārāzgī se
jiya hun umr bhar main bhi akela
use bhi kya mila naraazgi se
-
Share this
- See Ghazal
kis ne sochā thā ki ḳhud se mil kar
apnī āvāz se Dar jaanā hai
kis ne socha tha ki KHud se mil kar
apni aawaz se Dar jaana hai
-
Share this
- See Ghazal
mire andar mirā kuchh bhī nahīñ bas tū hai baaqī
tire andar batā pyāre maiñ ab kitnā bachā huuñ
mere andar mera kuchh bhi nahin bas tu hai baqi
tere andar bata pyare main ab kitna bacha hun
-
Share this
- See Ghazal