Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

nayan sukh

1750

nayan sukh

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 14

jitnā ki hai ifrāt tirī kam-nigahī

utnā idhar dekho to ye dīda-e-nam hai

jitna ki hai ifraat teri kam-nigahi ka

utna hi idhar dekho to ye dida-e-nam hai

  • Share this

jaave bhī phir aave bhī ka.ī shakl se har baar

chakkar meñ kahāñ, par ye mazā taan meñ dekhā

jawe bhi phir aawe bhi kai shakl se har bar

chakkar mein kahan, par ye maza tan mein dekha

  • Share this

aage ko baḌh sake hai na pīchhe ko haT sake

yaañ tak tire ḳhayāl meñ ab DaT gayā hai dil

aage ko baDh sake hai na pichhe ko haT sake

yan tak tere KHayal mein ab DaT gaya hai dil

vo jo ik tolā ka.ī māsha thī yaarī tum se

rattī bhar bhī na rahā is meñ kuchh āsār kahīñ

wo jo ek tola kai masha thi yari tum se

ratti bhar bhi na raha is mein kuchh aasar kahin

  • Share this

chaTpaTī dil bujhī yaar ke dekhe se yuuñ

bhūke ko jaise kahīñ se goyā khānā aayā

chaTpaTi dil ki bujhi yar ke dekhe se yun

bhuke ko jaise kahin se goya khana aaya

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Speak Now