Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nazeer Azad's Photo'

Nazeer Azad

1958 | kashmir

Sher of Nazeer Azad

tujh meñ gar bārish samundar ke barābar hai to kyā

mere andar bhī hai sahrā ke barābar tishnagī

tujh mein gar barish samundar ke barabar hai to kya

mere andar bhi hai sahra ke barabar tishnagi

aañkh bhar ishq aur badan bhar chaah

shukr lab bhar gila zabāñ bhar thā

aankh bhar ishq aur badan bhar chah

shukr lab bhar gila zaban bhar tha

zarra zarra karbalā manzar-ba-manzar tishnagī

apne hisse meñ to aa.ī hai sarāsar tishnagī

zarra zarra karbala manzar-ba-manzar tishnagi

apne hisse mein to aai hai sarasar tishnagi

ābād hai is dil jahāñ jis ke qadam se

vo mujh ko pukāre hai kisī aur jahāñ se

aabaad hai is dil ka jahan jis ke qadam se

wo mujh ko pukare hai kisi aur jahan se

tirā ḳhayāl mire dil meñ kaise ghar kartā

tirā ḳhayāl mirī vahshatoñ se aage hai

tera KHayal mere dil mein kaise ghar karta

tera KHayal meri wahshaton se aage hai

kyā milā juz sukūt-e-be-pāyāñ

shor siine meñ kārvāñ bhar thā

kya mila juz sukut-e-be-payan

shor sine mein karwan bhar tha

dāstāñ-go thā kisī baab se niklā hogā

vo jo kahtā thā ki dīvār meñ dar miltā hai

dastan-go tha kisi bab se nikla hoga

wo jo kahta tha ki diwar mein dar milta hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now