Sher of Nazim Sultanpuri
apnī sanjīda tabī.at pe to akasr 'nāzim'
fikr ke shoḳh ujāle bhī girāñ hote haiñ
apni sanjida tabiat pe to akasr 'nazim'
fikr ke shoKH ujale bhi giran hote hain
baḌe qalaq kī baat hai ki tum ise na paḌh sake
hamārī zindagī to ik khulī huī kitāb thī
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamari zindagi to ek khuli hui kitab thi
kitnī vīrān hai galī dil kī
duur tak koī naqsh-e-pā bhī nahīñ
kitni viran hai gali dil ki
dur tak koi naqsh-e-pa bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
iqtizā vaqt kā jo chāhe karā le varna
ham na the ġhair ke ehsān uThāne vaale
iqtiza waqt ka jo chahe kara le warna
hum na the ghair ke ehsan uThane wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download