Dohe of Nazir Fatehpuri
dhartī ko dhaḌkan milī milā samay ko gyaan
mere jab jab lab khule uThā koī tūfān
dharti ko dhaDkan mili mila samay ko gyan
mere jab jab lab khule uTha koi tufan
biite jis kī chhāñv meñ mausam ke din raat
apne man kī aas kā TuuT gayā vo paat
bite jis ki chhanw mein mausam ke din raat
apne man ki aas ka TuT gaya wo pat
kāġhaz ko maiñ ne diyā shabdoñ kā vardān
giit ġhazal ke ruup meñ mujhe milā sammān
kaghaz ko main ne diya shabdon ka wardan
git ghazal ke rup mein mujhe mila samman