Sher of Nazneen Begum Naz
mirī umr-e-guzishta kī haqīqat pūchhne vaalo
mujhe vo umr umr-e-rā.egāñ mālūm hotī hai
meri umr-e-guzishta ki haqiqat puchhne walo
mujhe wo umr umr-e-raegan malum hoti hai
sadā-bahār ho tum aur merī qismat ho
koī bahār na thī is bahār se pahle
sada-bahaar ho tum aur meri qismat ho
koi bahaar na thi is bahaar se pahle
miTā miTā sā tasavvur hai naaz maazī kā
hayāt-e-nau hai ab is umr-e-rā.egāñ se gurez
miTa miTa sa tasawwur hai naz mazi ka
hayat-e-nau hai ab is umr-e-raegan se gurez
qasam ḳhudā kī ye vāraftagī na thī mujh meñ
kisī ke ishq-e-salīqa-shi.ār se pahle
qasam KHuda ki ye waraftagi na thi mujh mein
kisi ke ishq-e-saliqa-shiar se pahle
ḳhalvat-e-nāz meñ kuchh aur hī raunaq hotī
koī ḳhalvat meñ agar anjuman-ārā hotā
KHalwat-e-naz mein kuchh aur hi raunaq hoti
koi KHalwat mein agar anjuman-ara hota