Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Obaidur Rahman's Photo'

Obaidur Rahman

1961 - 2014 | Delhi, India

Sher of Obaidur Rahman

3.1K
Favorite

SORT BY

nazar meñ duur talak rahguzar zarūrī hai

kisī bhī samt ho lekin safar zarūrī hai

nazar mein dur talak rahguzar zaruri hai

kisi bhi samt ho lekin safar zaruri hai

ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye

jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr bāteñ karte haiñ

tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye

jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain

apnī zaat ke mahbas meñ samāne se uThā

dard ehsās siine meñ dabāne se uThā

apni hi zat ke mahbas mein samane se uTha

dard ehsas ka sine mein dabane se uTha

āñgan āñgan ḳhuun ke chhīñTe chehra chehra be-chehra

kis kis ghar zikr karūñ meñ kis kis ke sadmāt likhūñ

aangan aangan KHun ke chhinTe chehra chehra be-chehra

kis kis ghar ka zikr karun mein kis kis ke sadmat likhun

bachchoñ ko ham na ek khilaunā bhī de sake

ġham aur baḌh gayā hai jo tyauhār aa.e haiñ

bachchon ko hum na ek khilauna bhi de sake

gham aur baDh gaya hai jo tyauhaar aae hain

jab dhuup sar pe thī to akelā thā meñ 'obaid'

ab chhāñv aa ga.ī hai to sab yaar aa.e haiñ

jab dhup sar pe thi to akela tha mein 'obaid'

ab chhanw aa gai hai to sab yar aae hain

yahī ik sāneha kuchh kam nahīñ hai

hamārā ġham tumhārā ġham nahīñ hai

yahi ek saneha kuchh kam nahin hai

hamara gham tumhaara gham nahin hai

koī dimāġh se koī sharīr se haarā

meñ apne haath andhī lakīr se haarā

koi dimagh se koi sharir se haara

mein apne hath ki andhi lakir se haara

shoḳhī kisī meñ hai na sharārat hai ab 'obaid'

bachche hamāre daur ke sanjīda ho ga.e

shoKHi kisi mein hai na shararat hai ab 'obaid'

bachche hamare daur ke sanjida ho gae

sohbat meñ jāhiloñ guzāre the chand roz

phir ye huā maiñ vāqif-e-ādāb ho gayā

sohbat mein jahilon ki guzare the chand roz

phir ye hua main waqif-e-adab ho gaya

mere jazbāt āñsuoñ vaale

sher sab hichkiyoñ se likhtā huuñ

mere jazbaat aansuon wale

sher sab hichkiyon se likhta hun

hameñ hijrat samajh meñ itnī aa.ī

parinda āb-o-dāna chāhtā hai

hamein hijrat samajh mein itni aai

parinda aab-o-dana chahta hai

TūTtā rahtā hai mujh meñ ḳhud mirā apnā vajūd

mere andar koī mujh se barsar-e-paikār hai

TuTta rahta hai mujh mein KHud mera apna wajud

mere andar koi mujh se barsar-e-paikar hai

jahāñ pahuñchne ḳhvāhish meñ umr biit ga.ī

vahīñ pahuñch ke hayāt ik ḳhayāl-e-ḳhām huī

jahan pahunchne ki KHwahish mein umr bit gai

wahin pahunch ke hayat ek KHayal-e-KHam hui

ghaTtī baḌhtī rahī parchhā.īñ mirī ḳhud mujh se

laakh chāhā ki mire qad ke barābar utre

ghaTti baDhti rahi parchhain meri KHud mujh se

lakh chaha ki mere qad ke barabar utre

dikhāo sūrat-e-tāza bayān se pahle

kahānī aur hai kuchh dāstān se pahle

dikhao surat-e-taza bayan se pahle

kahani aur hai kuchh dastan se pahle

hameñ to ḳhvāb ik shahr āñkhoñ meñ basānā thā

aur is ke ba.ad mar jaane sapnā dekh lenā thā

hamein to KHwab ka ek shahr aankhon mein basana tha

aur is ke baad mar jaane ka sapna dekh lena tha

talāshe rahe haiñ ahd-e-rafta

zamīnoñ khudā.ī ho rahī hai

talashe ja rahe hain ahd-e-rafta

zaminon ki khudai ho rahi hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now