Qaisarul Jafri
Ghazal 66
Nazm 19
Sher-o-Shayari 28
tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage
maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
-
Share this
- See Ghazal
ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ
miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
-
Share this
- See Ghazal
zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
-
Share this
- See Ghazal
havā ḳhafā thī magar itnī sañg-dil bhī na thī
hamīñ ko sham.a jalāne kā hausla na huā
hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua
-
Share this
- See Ghazal
dīvāroñ se mil kar ronā achchhā lagtā hai
ham bhī pāgal ho jā.eñge aisā lagtā hai
diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
hum bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 5
Image Shayari 8
bastii me.n hai vo sannaaTaa jangal maat lage shaam Dhale bhii ghar pahu.nchuu.n to aadhii raat lage muTThii band kiye baiThaa huu.n ko.ii dekh na le chaa.nd paka.Dne ghar se niklaa jugnuu haat lage tum se bichh.De dil ko uj.De barso.n biit ga.e aa.nkho.n kaa ye haal hai ab tak kal kii baat lage tum ne itne tiir chalaa.e sab KHaamosh rahe ham ta.Dpe to duniyaa bhar ke ilzaamaat lage KHat me.n dil kii baate.n likhnaa achchhii baat nahii.n ghar me.n itne log hai.n jaane kis ke haat lage saavan ek mahiine 'qaisar' aa.nsuu jiivan bhar in aa.nkho.n ke aage baadal be-auqaat lage
tumhaare shahr kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage mai.n ek shaam churaa luu.n agar buraa na lage tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaa.o mujhe tumhe.n bhulaane me.n shaayad mujhe zamaana lage jo Duubnaa hai to itne sukuun se Duubo ki aas-paas kii lahro.n ko bhii pataa na lage vo phuul jo mire daaman se ho ga.e mansuub KHudaa kare unhe.n baazaar kii havaa na lage na jaane kyaa hai kisii kii udaas aa.nkho.n me.n vo mu.nh chhupaa ke bhii jaa.e to bevafaa na lage tuu is tarah se mire saath bevafaa.ii kar ki tere baa'd mujhe ko.ii bevafaa na lage tum aa.nkh muu.nd ke pii jaa.o zindagii 'qaisar' ki ek ghuu.nT me.n mumkin hai bad-maza na lage