Sher of Raaz Allahabadi
āshiyāñ jal gayā gulsitāñ luT gayā ham qafas se nikal kar kidhar jā.eñge
itne mānūs sayyād se ho ga.e ab rihā.ī milegī to mar jā.eñge
aashiyan jal gaya gulsitan luT gaya hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
itne manus sayyaad se ho gae ab rihai milegi to mar jaenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ashk-e-ġham le ke āḳhir kidhar jaa.eñ ham āñsuoñ kī yahāñ koī qīmat nahīñ
aap hī apnā dāman baḌhā dījiye varna motī zamīñ par bikhar jā.eñge
ashk-e-gham le ke aaKHir kidhar jaen hum aansuon ki yahan koi qimat nahin
aap hi apna daman baDha dijiye warna moti zamin par bikhar jaenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye merī tamannā hai pyāsoñ ke maiñ kaam aa.uuñ
yārab mirī miTTī ko paimāna banā denā
ye meri tamanna hai pyason ke main kaam aaun
yarab meri miTTi ko paimana bana dena
umr juuñ juuñ baḌhtī hai dil javān hotā hai
'rāz' ye hasīñ ġhazleñ in safed bāloñ meñ
umr jun jun baDhti hai dil jawan hota hai
'raaz' ye hasin ghazlen in safed baalon mein