Sher of Raaz Muradabadi
har ik shikast-e-tamannā pe muskurāte haiñ
vo kyā kareñ jo musalsal fareb khāte haiñ
har ek shikast-e-tamanna pe muskuraate hain
wo kya karen jo musalsal fareb khate hain
kisī ke vāda-e-sabr-āzmā kī ḳhair ki ham
ab e'tibār kī had se guzarte jaate haiñ
kisi ke wada-e-sabr-azma ki KHair ki hum
ab e'tibar ki had se guzarte jate hain
rañg-o-bū ke parde meñ kaun ye ḳhirāmāñ hai
har nafas mo.attar hai har nazar ġhazal-ḳhvāñ hai
rang-o-bu ke parde mein kaun ye KHiraman hai
har nafas moattar hai har nazar ghazal-KHwan hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download