aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1980 | Delhi, India
sab kā alag andāz thā sab rang rakhte the judā
rahnā sabhī ke saath thā so ḳhud ko paanī kar liyā
sab ka alag andaz tha sab rang rakhte the juda
rahna sabhi ke sath tha so KHud ko pani kar liya
ik tarīqa ye bhī thā phal bāñTte vo umr-bhar
bhā.iyoñ ne peḌ kaaTā aur lakḌī baañT lī
ek tariqa ye bhi tha phal banTte wo umr-bhar
bhaiyon ne peD kaTa aur lakDi banT li
ḳhūbsūrat ruuh kā ik pairahan hai jism lekin
jism ke malbe meñ sab ne ruuh apnī dafn kar dī
KHubsurat ruh ka ek pairahan hai jism lekin
jism ke malbe mein sab ne ruh apni dafn kar di
yaad karne kī vo shiddat kho ga.ī jaane kahāñ
ab kisī ko hichkiyāñ bhī der tak aatī nahīñ
yaad karne ki wo shiddat kho gai jaane kahan
ab kisi ko hichkiyan bhi der tak aati nahin
zindagī miTTī kī sūrat chaak par rakkhī huī hai
aur ham bante-bigaḌte apnī qismat dekhte haiñ
zindagi miTTi ki surat chaak par rakkhi hui hai
aur hum bante-bigaDte apni qismat dekhte hain
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books