Sher of Ram Awtar Gupta Muztar
rah-e-qarār ajab rāh-e-be-qarārī hai
ruke hue haiñ musāfir safar bhī jaarī hai
rah-e-qarar ajab rah-e-be-qarari hai
ruke hue hain musafir safar bhi jari hai
be-dīn hue īmān diyā ham ishq meñ sab kuchh kho baiThe
aur jin ko samajhte the apnā vo aur kisī ke ho baiThe
be-din hue iman diya hum ishq mein sab kuchh kho baiThe
aur jin ko samajhte the apna wo aur kisi ke ho baiThe
terā honā na maan kar goyā
tujh ko taslīm kar rahā huuñ maiñ
tera hona na man kar goya
tujh ko taslim kar raha hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kā sukūn rizq ke hañgāme khā ga.e
sukh aadmī kā chand nivāloñ ne Das liyā
dil ka sukun rizq ke hangame kha gae
sukh aadmi ka chand niwalon ne Das liya
shām-e-avadh ne zulf meñ gūñdhe nahīñ haiñ phuul
tere baġhair sub.h-e-banaras udaas hai
sham-e-awadh ne zulf mein gundhe nahin hain phul
tere baghair subh-e-banaras udas hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
safar kā ruḳh badal kar dekhtā huuñ
kuchh apnī samt chal kar dekhtā huuñ
safar ka ruKH badal kar dekhta hun
kuchh apni samt chal kar dekhta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā tere naam se mujh ko pahchāne
ishq meñ aisā rusvā kar de yā-allāh
duniya tere nam se mujh ko pahchane
ishq mein aisa ruswa kar de ya-allah
lamha lamha bikhar rahā huuñ maiñ
apnī takmīl kar rahā huuñ maiñ
lamha lamha bikhar raha hun main
apni takmil kar raha hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
navāzā hai mujhe patthar se jis ne
use maiñ phuul de kar dekhtā huuñ
nawaza hai mujhe patthar se jis ne
use main phul de kar dekhta hun
na aa.e mere hoñToñ tak jo paimāna nahīñ aatā
mirī ḳhuddāriyoñ ko haath phailānā nahīñ aatā
na aae mere honTon tak jo paimana nahin aata
meri KHuddariyon ko hath phailana nahin aata
maiñ kaise tai karūñ be-samt rāstoñ kā safar
kahāñ hai shahr-e-tamannā koī patā to de
main kaise tai karun be-samt raston ka safar
kahan hai shahr-e-tamanna koi pata to de
dekh liyā kyā jaane shaam kī suunī āñkhoñ meñ
jhiil meñ sūraj apnī saarī laalī Daal gayā
dekh liya kya jaane sham ki suni aankhon mein
jhil mein suraj apni sari lali Dal gaya
jo chhū luuñ āsmāñ paañv kī dhartī khīñch letā hai
vo mujh ko kyuuñ mire qad se baḌā hone nahīñ detā
jo chhu lun aasman panw ki dharti khinch leta hai
wo mujh ko kyun mere qad se baDa hone nahin deta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarā dekheñ to duniyā kaise kaise rañg bhartī hai
chalo ham apne afsāne kā ġham unvān rakhte haiñ
zara dekhen to duniya kaise kaise rang bharti hai
chalo hum apne afsane ka gham unwan rakhte hain
nāmūs-e-zindagī ġham-e-insāñ meñ Dhaal kar
suutī hai raat jaam se sūraj nikāl kar
namus-e-zindagi gham-e-insan mein Dhaal kar
suti hai raat jam se suraj nikal kar