Sher of Rana Gannauri
hamārā dil to ġham meñ bhī ḳhushī mahsūs kartā hai
vahī mushkil meñ rahte haiñ jo ġham ko ġham samajhte haiñ
hamara dil to gham mein bhi KHushi mahsus karta hai
wahi mushkil mein rahte hain jo gham ko gham samajhte hain
ḳhud tarāshnā patthar aur ḳhudā banā lenā
aadmī ko aatā hai kyā se kyā banā lenā
KHud tarashna patthar aur KHuda bana lena
aadmi ko aata hai kya se kya bana lena
zindagī kā bhī kiyā bharosā hai
zindagī kī qasam bhī kyā khā.ūñ
zindagi ka bhi kiya bharosa hai
zindagi ki qasam bhi kya khaun
ai ḳhudā maiñ sun rahā huuñ āhaTeñ us vaqt kī
jab tirī duniyā kā har bandā ḳhudā ho jā.egā
ai KHuda main sun raha hun aahaTen us waqt ki
jab teri duniya ka har banda KHuda ho jaega
tumhārī raah meñ āñkheñ bichhā.e baiThā huuñ
tumhāre aane kī hālāñki koī aas nahīñ
tumhaari rah mein aankhen bichhae baiTha hun
tumhaare aane ki haalanki koi aas nahin
tumheñ ai kaash koī raaz ye samjhā gayā hotā
agar sunte to kahne kā salīqa aa gayā hotā
tumhein ai kash koi raaz ye samjha gaya hota
agar sunte to kahne ka saliqa aa gaya hota
ḳhushī ham se kinārā kar rahī hai
hameñ ġham ko bhī apnānā paḌegā
KHushi hum se kinara kar rahi hai
hamein gham ko bhi apnana paDega
rahe ḳhayāl hiqārat se dekhne vaalo
haqīr log baḌe aadmī nikalte haiñ
rahe KHayal hiqarat se dekhne walo
haqir log baDe aadmi nikalte hain
rakho tum band be-shak apnī ghaḌiyāñ
samay to raat din chaltā rahegā
rakho tum band be-shak apni ghaDiyan
samay to raat din chalta rahega
har shaḳhs yahāñ sāhib-e-idrāk nahīñ hai
har shaḳhs ko tum sāhib-e-idrāk na kahnā
har shaKHs yahan sahib-e-idrak nahin hai
har shaKHs ko tum sahib-e-idrak na kahna
ab mujhe thoḌī sī ġhaflat se bhī Dar lagtā hai
aañkh lagtī hai ki dīvār se sar lagtā hai
ab mujhe thoDi si ghaflat se bhi Dar lagta hai
aankh lagti hai ki diwar se sar lagta hai
har ik kī hai pasand apnī har ik kā hai mizāj apnā
vafā mujh ko pasand aa.ī pasand aa.ī jafā us ko
har ek ki hai pasand apni har ek ka hai mizaj apna
wafa mujh ko pasand aai pasand aai jafa us ko
ham ne duniyā se sulūk aisā kiyā hai 'rānā'
ham na hoñge to bahut yaad karegī duniyā
hum ne duniya se suluk aisa kiya hai 'rana'
hum na honge to bahut yaad karegi duniya
rakhnā hamesha yaad ye merā kahā huā
aatā nahīñ hai luuT ke paanī bahā huā
rakhna hamesha yaad ye mera kaha hua
aata nahin hai luT ke pani baha hua
mas.ale hal karte karte aadmī kā zehan bhī
be-tarah uljhā huā ik mas.ala ho jā.egā
masale hal karte karte aadmi ka zehan bhi
be-tarah uljha hua ek masala ho jaega
aaj bār-e-gosh hai merī sadā us ko magar
mere sheroñ ko zamāna der tak dohrā.egā
aaj bar-e-gosh hai meri sada us ko magar
mere sheron ko zamana der tak dohraega