Rangin Saadat Yaar Khan
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 9
zulm kī Tahnī kabhī phaltī nahīñ
naav kāġhaz kī kahīñ chaltī nahīñ
zulm ki Tahni kabhi phalti nahin
naw kaghaz ki kahin chalti nahin
- Add to favorites
-
Share this
bādal aa.e haiñ ghir gulāl ke laal
kuchh kisī kā nahīñ kisī ko ḳhayāl
baadal aae hain ghir gulal ke lal
kuchh kisi ka nahin kisi ko KHayal
- Add to favorites
-
Share this
jhūTā kabhī na jhūTā hove
jhūTe ke aage sachchā rove
jhuTa kabhi na jhuTa howe
jhuTe ke aage sachcha rowe
- Add to favorites
-
Share this
hai ye duniyā jā-e-ibrat ḳhaak se insān kī
ban ga.e kitne subū kitne hī paimāne hue
hai ye duniya ja-e-ibrat KHak se insan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimane hue
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
pā-bos-e-yār kī hameñ hasrat hai ai nasīm
āhista ā.īyo tū hamāre mazār par
pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamare mazar par
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal