Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ranjoor Azimabadi's Photo'

Ranjoor Azimabadi

1863 - 1923 | Kolkata, India

One of the key figures in establishing Azimabad as a School of Urdu Poetry. Earned the coveted titles of 'Shams-ul-Ulema' and 'Khan Bahadur'.

One of the key figures in establishing Azimabad as a School of Urdu Poetry. Earned the coveted titles of 'Shams-ul-Ulema' and 'Khan Bahadur'.

Sher of Ranjoor Azimabadi

mujh ko kaafī hai bas ik terā muāfiq honā

saarī duniyā bhī muḳhālif ho to kyā hotā hai

mujh ko kafi hai bas ek tera muafiq hona

sari duniya bhi muKHalif ho to kya hota hai

butoñ meñ kis balā hai kashish allāh jaane

chale the shauq-e-ka.aba meñ sanam-ḳhāne meñ nikle

buton mein kis bala ki hai kashish allah hi jaane

chale the shauq-e-kaba mein sanam-KHane mein ja nikle

agar chilman ke bāhar vo but-e-kāfir-adā nikle

zabān-e-shaiḳh se salle-alā salle-alā nikle

agar chilman ke bahar wo but-e-kafir-ada nikle

zaban-e-shaiKH se salle-ala salle-ala nikle

dikhā kar zahr shīshī kahā 'ranjūr' se us ne

ajab kyā terī bīmārī ye hakmī davā nikle

dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne

ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle

detā hai mujh ko charḳh-e-kuhan baar baar daaġh

uf ek merā siina hai us par hazār daaġh

deta hai mujh ko charKH-e-kuhan bar bar dagh

uf ek mera sina hai us par hazar dagh

hotā hai saaf rū-e-kitābī se ye ayaañ

kāfir hai go vo but magar ahl-e-kitāb hai

hota hai saf ru-e-kitabi se ye ayan

kafir hai go wo but magar ahl-e-kitab hai

Recitation

Speak Now