Sher of Rohit Rahi
huuñ ḳhafā saare zamāne se faqat tere liye
'ishq kī tauhīd mere tū kabhī to jānegā
hun KHafa sare zamane se faqat tere liye
'ishq ki tauhid mere tu kabhi to jaanega
ham-mizājī kā na yuuñ dā'vā karo
āshnā honā mirā āsāñ nahīñ
ham-mizaji ka na yun da'wa karo
aashna hona mera aasan nahin
pattharoñ ke ye sanam sunte haiñ kab
kaifiyat apnī ḳhudā hī jaane haiñ
pattharon ke ye sanam sunte hain kab
kaifiyat apni KHuda hi jaane hain
'ishq kī fitrat sadā āzād hai
qaid meñ dair-o-haram kī kab rahā
'ishq ki fitrat sada aazad hai
qaid mein dair-o-haram ki kab raha
is tarah duniyā se merī hai nibāh
āñdhiy.oñ meñ diip goyā jaltā ho
is tarah duniya se meri hai nibah
aandhiyon mein dip goya jalta ho
'ishq kī koī kasak hai yā karam urdu kā hai
bahr meñ Dhaltā hai yāroñ ḳhud-ba-ḳhud merā kalām
'ishq ki koi kasak hai ya karam urdu ka hai
bahr mein Dhalta hai yaron KHud-ba-KHud mera kalam
pārsā.ī kā tujhe 'rohit' milegā kyā samar
kahte haiñ duniyā jise sadiyoñ se be-tartīb hai
parsai ka tujhe 'rohit' milega kya samar
kahte hain duniya jise sadiyon se be-tartib hai
dekh kar 'ālam kā 'ālam kyā alam ab ham kareñ
jab ḳhudā ḳhud bhuul baiThā kah ke kun 'rohit' miyāñ
dekh kar 'alam ka 'alam kya alam ab hum karen
jab KHuda KHud bhul baiTha kah ke kun 'rohit' miyan
muḳhtalif andāz hai merā magar
dil meñ hai sūrat purānī sī vahī
muKHtalif andaz hai mera magar
dil mein hai surat purani si wahi
dil ke har goshe meñ jag achchhā nahīñ
kuchh ḳhalā bhī rakh ḳhudā ke vāste
dil ke har goshe mein jag achchha nahin
kuchh KHala bhi rakh KHuda ke waste
ho na ho nazr-e-karam lekin sanam
anjuman meñ aap kī hāzir to haiñ
ho na ho nazr-e-karam lekin sanam
anjuman mein aap ki hazir to hain
baab sab ham ne mohabbat ke paḌhe
'mīr' sā hogā na koī phir kabhī
bab sab hum ne mohabbat ke paDhe
'mir' sa hoga na koi phir kabhi
qaid kyā dair-o-haram kī zāhido
jalva-gar hai har taraf merā sanam
qaid kya dair-o-haram ki zahido
jalwa-gar hai har taraf mera sanam
in bahāroñ kī havāoñ ko shikāyat ham se hai
ham kalī ko lams se gul karte haiñ jān-e-jigar
in bahaaron ki hawaon ko shikayat hum se hai
hum kali ko lams se gul karte hain jaan-e-jigar
aarzū ik 'ishq kī laa.ī 'adam se dahr tak
kaifiyat ye paane ko piitā hai aadam zahr tak
aarzu ek 'ishq ki lai 'adam se dahr tak
kaifiyat ye pane ko pita hai aadam zahr tak
ye garajnā bādaloñ kā yuuñ lage
baat mujh se kartā ho jaise ḳhudā
ye garajna baadalon ka yun lage
baat mujh se karta ho jaise KHuda