ALL
Profile
E-book203
Short story233
Article40
Quote107
Afsancha29
Tanz-o-Mazah1
Khaka24
Drama59
Translation2
Video82
Gallery 4
Blog5
Other
Novelette1
Letter10
Quotes of Saadat Hasan Manto
Leader Jab Aansoo Bahaa Kar Logon Se Kahte Hain Ki Mazhab Khatre Mein Hai To Ismein Koi Haqeeqat Nahi Hoti. Mazhab Aisi Cheez Hi Nahi Ki Khatre Mein Pad Sake, Agar Kisi Baat Ka Khatra Hai To Woh Leaderon Ka Hai Jo Apna Ulloo Seedha Karne Ke Liye Mazhab Ko Khatre Mein Daalte Hain.

Main Baghaawat Chahta Hun Har Us Fard Ke Khilaaf Baghaawat Chahta Hun Jo Humse Mehnat Karaata Hai Magar Uske Daam Adaa Nahi Karta.

Aap Shahar Mein Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Dekhte Hain... Ye Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Kooda-karkat Uthane Ke Kaam Nahi Aa Saktin. Gandagi Aur Ghalaazat Utha Kar Bahar Phenkne Ke Liye Aur Gadiyaan Maujood Hain Jinhein Aap Kam Dekhte Hain Aur Agar Dekhte Hain To Fauran Apni Naak Par Rumaal Rakh Lete Hain... In Gadiyon Ka Wujood Zaroori Hai Aur Un Aurton Ka Wujood Bhi Zaroori Hai Jo Ghalaazat Uthaati Hain. Agar Ye Aurtein Na Hotin To Hamaare Sab Gali-kooche Mardon Ki Ghaleez Harakaat Se Bhare Hote.

Pahle Mazhab Seenon Mein Hota Tha, Aaj-kal Topiyon Mein Hota Hai. Siyaasat Bhi Ab Topiyon Mein Chali Aayi Hai. Zindaabaad Topiyaan.

Duniya Mein Jitni Laantein Hain, Bhook Unki Maan Hai.

Dil Aisi Shay Nahi Jo Baanti Ja Sake.
Dil Aisi Shay Nahi Jo Baanti Ja Sake.
Zamaane Ke Jis Daur Se Hum Is Waqt Guzar Rahe Hain Agar Aap Isse Naawaaqif Hain To Mere Afsaane Paḍhiye. Agar Aap In Afsaanon Ko Bardaasht Nahi Kar Sakte To Iska Matlab Hai Ki Ye Zamaana Naaqaabil-e-bardaasht Hai... Mujh Mein Jo Buraaiyaan Hain, Wo Is Ahd Ki Buraaiyaan Hain... Mere Tahreer Mein Koi Naqs Nahi. Jis Naqs Ko Mere Naam Se Mansoob Kiya Jaata Hai, Dar-asl Maujooda Nizaam Ka Naqs Hai.

Bhook Kisi Qism Ki Bhi Ho, Bahut Khatarnaak Hai.

Vaisya Aur Ba-ismat Aurat Ka Muqaabla Hargiz-hargiz Nahi Karna Chahiye. In Dono Muqabla Ho Hi Nahi Sakta. Vaishya Khud Kamaati Hai Aur Ba-ismat Aurat Ke Paas Kamaa Kar Laane Waale Kaee Maujood Hote Hain.

Agar Eik Hi Baar Jhoot Na Bolne Aur Chori Na Karne Ki Talqeen Karne Par Saari Duniya Jhoot Aur Chori Se Parhez Karti To Shaayad Eik Hi Paighambar Kaafi Hota.

Hindustan Ko Un Leaderon Se Bachaao Jo Mulk Ki Fiza Bigaad Rahe Hain Aur Awaam Ko Gumraah Kar Rahe Hain.

Aurat Haan Aur Na Ka Eik Nihaayat Hi Dilchasp Murakkab Hai. Inkaar Aur Iqraar Kuchh Is Tarah Aurat Ke Wujood Mein Khalt-malt Ho Gaya Hai Ki Baaz Auqaat Iqraar-inkaar Maloom Hota Hai Aur Inkaar-iqraar.

Jism Daagha Ja Sakta Hai Magar Rooh Nahi Daaghi Ja Sakti.

Har Aurat Vaishya Nahi Hoti Lekin Har Vaishya Aurat Hoti Hai, Is Baat Ko Hamesha Yaad Rakhna Chaahiye.

Zabaan Banaai Nahi Jaati, Khud Banti Hai Aur Na Insaani Koshishein Kisi Zabaan Ko Fanaa Kar Sakti Hain.

Agar Main Kisi Aurat Ke Seene Ka Zikr Karna Chaahunga To Use Aurat Ka Seena Hi Kahunga. Aurat Ki Chhatiyon Ko Aap Mungfali, Mez Ya Ustura Nahi Kah Sakte... Yun To Baaz Hazraat Ke Nazdeek Aurat Ka Wujood Hi Fohsh Hai, Magar Uska Kya Ilaaj Ho Sakta Hai?

Haseen Cheez Eik Daayemi Musarrat Hai. Art Jahaan Bhi Mile Humein Uski Qadr Karni Chahiye.

Society Ke Usoolon Ke Mutaabiq Mard Mard Rahta Hai, Khwaah Uski Kitaab-e-zindagi Ke Har Waraq Par Gunaahon Ki Siyaahi Lipi ho. Magar Woh Aurat Jo Sirf Eik Martaba Jawaani Ke Be-panaah Jazbe Ke Zer-e-asar Ya Kisi Laalach Mein Aakar Ya Kisi Mard Ki Zabardasti Ka Shikaar Ho Kar Eik Lamhe Ke Liye Apne Raaste Se Hat Jaaye, Aurat Nahi Rahti. Use Haqaarat-o-nafrat Ki Nigaahon Se Dekha Jaata Hai. Society Us Par Woh Tamaam Darwaaze Band Kar Deti Hai Jo Eik Siyaah-pesha Mard Ke Liye Khule Rahte Hain.

Agar Hum Saabun Aur Lavender Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Mauryon Aur Badruon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jo Hamaare Badan Ka Mail Peeti Hain. Agar Hum Mandiron Aur Masjidon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Qahba-khaanon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Se Laut Kar Kaee Insaan Mandiron Aur Masjidon Ka Rukh Karte Hain... Hum Afyun, Charas, Bhang Aur Sharaab Ke Thekon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Kothon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Har Qism Ka Nasha Istemaal Kiya Jaata Hai.

Main Adab Aur Film Ko Eik Aisa Mai-khaana Samajhta Hoon, Jiski Botlon Par Koi Lable Nahi Hota.

Har Haseen Cheez Insaan Ke Dil Mein Apni Waq'at Paida Kar Deti Hai. Khwaah Insaan Ghair-tarbiyat-yaafta Hi Kyun Na Ho?

Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai. Ya Khud Banti Hai. Jis Cheez Ki Maang Hogi Mandi Mein Zaroor Aaegi. Mard Ki Nafsaani Khwaahishaat Ki Maang Aurat Hai. Khwaah Woh Kisi Shakl Mein Ho. Chunaanche Is Maang Ka Asar Ye Hai Ki Har Shahar Mein Koi Na Koi Chakla Maujood Hai. Agar Aaj Ye Maang Door Ho Jaaye To Ye Chakle Khud Ba Khud Ghaayab Ho Jaaenge.

Yaad Rakhiye Watan Ki Khidmat Shikam-ser Log Kabhi Nahi Kar Sakenge. Wazni Me'ade Ke Saath Jo Shakhsh Watan Ki Khidmat Ke Liye Aage Badhe, Use Laat Maar Kar Baahar Nikaal Dijiye.

Jis Aurat Ke Darwaaze Shahar Ke Har Us Shaksh Ke Liye Khule Hain Jo Apni Jebon Mein Chaandi Ke Chand Sikke Rakhta Ho. Khwaah Woh Mochi Ho Ya Bhangi, Langda Ho Ya Loola, Khubsoorat Ho Ya Karihatul Manzar, Uski Zindagi Ka Andaaza Ba-khoobi Lagaya Ja Sakta Hai.

Mujhe Naam-nihaad Communiston Se Badi Chid Hai. Woh Log Mujhe Bahut Khalte Hain Jo Narm-narm Sofon Par Baith Kar Daraanti Aur Hathaude Ki Zarbon Ki Baatein Karte Hain.

Bhook Kisi Qism Ki Bhi Ho, Bahut Khatarnaak Hai. Aazaadi Ke Bhookon Ko Agar Ghulaami Ki Zanjeerein Hi Pesh Ki Jaati Rahin To Inquilaab Zaroor Hoga... Roti Ke Bhooke Agar Faaqe Hi Kheenchte Rahe To Woh Tang Aa Kar Doosre Ka Niwaala Zaroor Chhinenge... Mard Ki Nazron Ko Agar Aurt Ke Deedaar Ka Bhooka Rakha Gaya To Shaayad Woh Apne Hum-jinson Aur Haiwaanon Mein Uska Aks Dekhne Ki Koshish Karein.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai, Ya Khud Banti Hai.

Mazhab Khud Eik Bahut Bada Mas'ala Hai, Agar Isme Lapet Kar Kisi Aur Mas'ale Ko Dekha Jaye To Hamein Bahut Hu Maghz-dardi Karni Paregi.

Siyaasat Aur Mazhab Ki Laash Hamaare Naam-war Leader Apne Kandhe Par Uthaae Phirte Hain Aur Seedhe-saade Logon Ko Jo Har Baat Maan Lene Ke Aadi Hote Hain Ye Kahte-phirte Hain Ki Woh Is Laash Ko Az Sar-e-nau Zindagi Bakhsh Rahe Hain.

Yaad Rakhiye Ghurbat Laanat Nahi Hai Jo Use Laanat Zaahir Karte Hain Woh Khud Mal'oon Hain. Woh Khud Us Ameer Se Do Laakh Darje Behtar Hai Jo Apne Kashti Khud Apne Haathon Se Kheta Hai...

Mard Ka Tasawwur Hamesha Aurton Ko Ismat Ke Tane Hue Rasse Par Khada Kar Deta Hai.

Yeh Log Jo Apne Gharon Ka Nizaam Durust Nahi Kar Sakte, Yeh Log Jinka Character Be-had Past Hota Hai, Siyaasat Ke Maidan Mein Apne Watan Ka Nizaam Theek Karne Aur Logon Ko Akhlaaqiyaat Ka Sabaq Dene Ke Liye Nikalte Hain... Kis Qadar Mazhaka-khez Cheez Hai!

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.

Main Afsaana Isliye Likhta Hun Ki Mujhe Afsaana-nigaari Ki Sharaab Ki Tarah Lat Pad Gayi Hai. Main Afsaana Na Likhun To Mujhe Aisa Mahsoos Hota Hai Ki Main Kapde Nahi Pahne, Ya Maine Ghusl Nahi Kiya, Ya Maine Sharaab Nahi Pee.

Vaishyaon Ke Ishq Mein Eik Khaas Baat Qaabil-e-zikr Hai. Unka Ishq Unke Roz-marra Ke Maamool Par Bahut Kam Asar Daalta Hai.

Aadmi Ya To Aadmi Hai Warna Aadmi Nahi Hai, Gadhaa Hai, Makaan Hai, Mez Hai, Ya Aur Koi Cheez Hai.

-
Tag : Human Being
Roti Khaane Ke Mutalliq Eik Mota Sa Usool Hai Ki Har Luqma Achchi Tarah Chabaa Kar Khaao. Lu'aab Dahan Mein Use Khoob Hal Hone Do Taaki Me'de Par Ziyaada Bojh Na Pade Aur Iski Ghizaaiyat Barqaraar Rahe. Padhne Ke Liye Bhi Yahi Mota Usool Hai Ki Har Lafz Ko, Har Khayaal Ko Achchi Tarah Zahan Mein Chabaao. Us Luaab Ko Jo Padhne Se Tumhaare Dimaagh Mein Paida Hoga, Achchi Tarah Hal Karo Taaki Jo Kuchh Tumne Padhaa Hai, Achchi Tarah Hazam Ho Sake. Agar Tumne Aisa Na Kiya To Uske Nataaij Bure Honge Jiske Liye Tum Likhne Waale Ko Zimmedaar Na Thahra Sakoge. Woh Roti Jo Achchi Tarah Chabaa Kar Nahi Khaai Gayi Tumhaari Bad-hazmi Ki Zimmedaar Kaise Ho Sakti Hai?

Hindustan Mein Saikdon Ki Tadaad Mein Akhbaaraat-o-rasaail Chhapte Hain Magar Haqeeqat Yeh Hai Ki Sahaafat Is Sar-zameen Mein Abhi Tak Paida Hi Nahi Hui Hai.

Jis Tarah Jismaani Sehat Barqaraar Rakhne Ke Liye Kasrat Ki Zaroorat Hai, Theek Usi Tarah Zehn Ki Sehat Barqaraar Rakhne Ke Liye Zehni Varzish Ki Zaroorat Hai.

Vaishya Ka Wajood Khud Eik Janaaza HAi Jo Samaaj Khud Apne Kandhon Par Uthaae Hue Hai. Woh Use Jab Tak Kaheen Dafn Nahi Karega, Uske Mutalliq Baatein Hoti Rahengi.

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi... Main Use Kapde Pahnaane Ki Koshish Bhi Nahi Karta, Isliye Ki Yeh Mera Kaam Nahi, Darziyon Ka Hai. Log Mujhe Siyaah Qalam Kahte Hain, Main Takhta-e-siyaah Par Kaali Chaak Se Nahi Likhta, Safed Chaak Istemaal Karta Hoon Ki Takhta-e-siyaah Ki Siyaahi Aur Bhi Ziyaada Numaayaan Ho Jaaye. Yeh Mera Khaas Andaaz, Mera Khaas Tarz Hai Jise Fohsh-nigaari, Taraqqi-pasandi Aur Khuda Maloom Kya Kuch Kahaa Jaata Hai. Laanat Ho S'aadat Hasan Manto Par, Kambakht Ko Gaali Bhi Saleeqe Se Nahi Di Jaati.

Main To Baaz-auqaat Aisa Mahsoos Karta Hoon Ki Hukoomat Aur Ri'aaya Ka Rishta Roothe Khaawand Aur Biwi Ka Rishta Hai.

Vaishya Apne Taareek Tijaarat Ke Baawajood Raushan Rooh Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Gadaa-gari Qaanoonan Band Kar Di Jaati Hai, Magar Woh Asbaab-o-elal Door Karne Ki Koshish Nahi Ki Jati Jo Insaan Ko Is Fe'al Par Majboor Karte Hain. Aurton Ko Sar-e-baazaar Jism-faroshi Ke Kaarobaar Se Roka Jaata Hai Magar Uske Muharrekaat Ke Isteesaal Ki Taraf Koi Tawajjoh Nahi Deta.

Maujuda Nizaam Ke Tahat Jiski Baag-dor Sirf Mardon Ke Haath Mein Hai, Aurat Khwaah Woh Ismat-farosh Ho Ya Ba-ismat, Hamesha Dabi Rahi Hai. Mard Ko Maujooda Akhtiyaar Hoga Ki Woh Uske Mutalliq Jo Chaahe Raae Qayam Kare.

Hindi Ke Haq Mein Hindu Kyun Apna Waqt Zaaya Karte Hain. Musalmaan, Urdu Ke Tahaffuz Ke Liye Kyun Be-qaraar Hain...? Zabaan Banaai Nahi Jaati, Khud Banti Hai Aur Na Insaani Koshishein Kisi Zabaan Ko Fanaa Kar Sakti Hain.

Chakki Peesne Waali Aurat Jo Din Bhar Kaam Karti Hai Aur Raat Ko Itmeenaan Se So Jaati Hai, Mere Afsaanon Ki Heroin Nahi Ho Sakti. Meri Heroin Chakle Ki Eik Takhyaai Randi Ho Sakti Hai Jo Raat Ko Jaagti Hai Aur Din Ko Sote Mein Kabhi-kabhi Daraawna Khwaab Dekh Kar Uth Baithti Hai Ki Budhaapa Uske Darwaaze Par Dastak Dene Aa Raha Hai... Uske Bhaari-bhaari Papote Jin Par Barson Ki Uchti Hui Nindein Munjamid Ho Gayi Hain, Mere Afsaanon Ka Mauzoo Ban Sakte Hain. Uski Ghalaazat, Uski Bimaariyaan, Uska Chidchidaapan, Uski Gaaliyaan Yeh Sab Mujhe Bhaati Hain... Main Unke Mutalliq Likhta Hun Aur Ghareloo Aurton Ki Shusta Kalaamiyon, Unki Sehat Aur Unki Sehat Aur Unki Nafaasat-pasandi Ko Nazar-andaaz Kar Jaata Hoon.

Koi Afsaana Ya Adab-para Fohsh Nahi Ho Sakta. Jab Tak Likhne Waale Ka Maqsad Adab-nigaari Hai. Adab Ba-haisiyat-e-adab Ke Kabhi Fohsh Nahi Hota.

Humein Apne Qalam Se Rozi Kamaana Hai Aur Hum Is Zariye Se Rozi Kamaa Kar Rahenge. Yeh Hargiz Nahi Ho Sakta Ki Hum Aur Hamaare Baal-bachche Faaqe Marein Aur Jin Akhbaaron Aur Risaalon Mein Hamaare Mazaameen Chhapte Hain, Unke Maalik Khushhaal Rahein.