Saifuddin Saif
Ghazal 47
Nazm 6
Sher-o-Shayari 39
shor din ko nahīñ sone detā
shab ko sannāTā jagā detā hai
shor din ko nahin sone deta
shab ko sannaTa jaga deta hai
-
Share this
- See Ghazal
aise lamhe bhī guzāre haiñ tirī furqat meñ
jab tirī yaad bhī is dil pe girāñ guzrī hai
aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein
jab teri yaad bhi is dil pe giran guzri hai
-
Share this
- See Ghazal
thakī thakī sī fazā.eñ bujhe bujhe taare
baḌī udaas ghaḌī hai zarā Thahar jaao
thaki thaki si fazaen bujhe bujhe tare
baDi udas ghaDi hai zara Thahar jao
-
Share this
- See Ghazal
tum ko begāne bhī apnāte haiñ maiñ jāntā huuñ
mere apne bhī parā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun
mere apne bhi parae hain tumhein kya malum
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
chaa.ndnii raat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai lab pe ik baat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai jhuum kar aaj ye shab-ra.ng laTe.n bikhraa de dekh barsaat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai dil-e-majruuh kii uj.Dii hu.ii KHaamoshii se buu-e-naGmaat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai aaj kii raat vo aa.e hai.n ba.Dii der ke baa'd aaj kii raat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai aah taskiin bhii ab 'saif' shab-e-hijraa.n me.n aksar auqaat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai