Sajjad Shamsi
Ghazal 2
Sher-o-Shayari 2
haiñ qahqahe kisī ke kisī kī haiñ siskiyāñ
shāmil rahā ḳhushī meñ kisī bebasī kā shor
hain qahqahe kisi ke kisi ki hain siskiyan
shamil raha KHushi mein kisi bebasi ka shor
-
Share this
- See Ghazal
ye kaisā hādsa guzrā ye kaisā sāneha biitā
na āñgan hai na chhat baaqī na haiñ dīvār-o-dar baaqī
ye kaisa hadsa guzra ye kaisa saneha bita
na aangan hai na chhat baqi na hain diwar-o-dar baqi
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
du.aa.o.n me.n asar baaqii na aaho.n me.n asar baaqii hai kuchh le de ke gar baaqii to hai ik chashm-e-tar baaqii ye kaisaa haadsa guzraa ye kaisaa saaneha biitaa na aa.ngan hai na chhat baaqii na hai.n diivaar-o-dar baaqii chaman vaalo.n kii bad-zauqii pe kaliyaa.n jaan khotii hai.n na hai.n ahl-e-nazar baaqii na ko.ii diida-var baaqii pataa kyaa puuchhte hai.n aap ham sahraa-navardo.n se na apnaa shahr hai baaqii mohalla hai na ghar baaqii fazaa.e.n chup havaa.e.n chup sadaa.e.n chup nidaa.e.n chup navaa-e-niim-shab baaqii na hai baa.ng-e-sahar baaqii KHudaa jaane nizaam-e-mai-kada ko kyaa hu.aa 'shamsii' na vo husn-e-ataa baaqii na vo lutf-e-nazar baaqii