Sher of Samar Kabir
raat bastī jalī ġharīboñ kī
sub.h aḳhbār ho ga.e raushan
raat basti jali gharibon ki
subh aKHbar ho gae raushan
merī mazdūrī ke paise mujhe de do mālik
aaj beTī mirī sasurāl se aa.ī huī hai
meri mazduri ke paise mujhe de do malik
aaj beTi meri sasural se aai hui hai
qadam qadam pe mire ḳhvāb jal rahe haiñ yahāñ
maiñ is zamīn ko jannat banāne aayā thā
qadam qadam pe mere KHwab jal rahe hain yahan
main is zamin ko jannat banane aaya tha
jo mire sochne kī bāteñ haiñ
dūsre sochte haiñ mere liye
jo mere sochne ki baaten hain
dusre sochte hain mere liye
aur thoḌā sā zahr ghulne do
aadmī aadmī ko tarsegā
aur thoDa sa zahr ghulne do
aadmi aadmi ko tarsega
miyāñ majnūñ to kab ke mar chuke haiñ
magar hāthoñ meñ patthar hai abhī tak
miyan majnun to kab ke mar chuke hain
magar hathon mein patthar hai abhi tak
in ġharīb logoñ kī ye 'ajīb mushkil hai
sar jhukā ke kahte haiñ sar nahīñ jhukā.eñge
in gharib logon ki ye 'ajib mushkil hai
sar jhuka ke kahte hain sar nahin jhukaenge
vo merī teġh se martā to kyā maza aatā
usī ke tiir se us kā shikār karnā thā
wo meri tegh se marta to kya maza aata
usi ke tir se us ka shikar karna tha
koī jaldī nahīñ hai soch lenā
abhī inkār kī gunjā.isheñ haiñ
koi jaldi nahin hai soch lena
abhi inkar ki gunjaishen hain
qusūr in shā'iroñ kā bhī nahīñ hai
vahī deñge jo ye bāzār bole
qusur in sha'iron ka bhi nahin hai
wahi denge jo ye bazar bole