Sher of Sanaullah Zaheer
maiñ de rahā huuñ tujhe ḳhud se iḳhtilāf kā haq
ye iḳhtilāf kā haq hai muḳhālifat kā nahīñ
main de raha hun tujhe KHud se iKHtilaf ka haq
ye iKHtilaf ka haq hai muKHalifat ka nahin
us ke kamre se uThā laayā huuñ yādeñ apnī
ḳhud paḌā rah gayā lekin kisī almārī meñ
us ke kamre se uTha laya hun yaaden apni
KHud paDa rah gaya lekin kisi almari mein
merā ye dukh ki maiñ sikka huuñ ga.e vaqtoñ kā
terā ho kar bhī tire kaam nahīñ aa saktā
mera ye dukh ki main sikka hun gae waqton ka
tera ho kar bhi tere kaam nahin aa sakta
kahānī phail rahī hai usī ke chāroñ taraf
nikālnā thā jise dāstāñ ke andar se
kahani phail rahi hai usi ke chaaron taraf
nikalna tha jise dastan ke andar se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tire makāñ kā taqaddus aziiz thā itnā
maiñ aa rahā huuñ galī se pare utaar ke paañv
tere makan ka taqaddus aziz tha itna
main aa raha hun gali se pare utar ke panw
ḳhalā meñ tairte phirte haiñ haath pakḌe hue
zamīñ kī ek sadī ek saal sūraj kā
KHala mein tairte phirte hain hath pakDe hue
zamin ki ek sadi ek sal suraj ka
apnī mastī ki tire qurb kī sarshārī meñ
ab maiñ kuchh aur bhī āsān huuñ dushvārī meñ
apni masti ki tere qurb ki sarshaari mein
ab main kuchh aur bhi aasan hun dushwari mein