Sher of Sardar Anjum
chalo baañT lete haiñ apnī sazā.eñ
na tum yaad aao na ham yaad aa.eñ
TRANSLATION
Lets share our punishments between us two,
You don’t remember me, I won’t remember you.
Sagar Akbarabadi
chalo banT lete hain apni sazaen
na tum yaad aao na hum yaad aaen
TRANSLATION
Lets share our punishments between us two,
You don’t remember me, I won’t remember you.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-hayāt kā jhagḌā miTā rahā hai koī
chale bhī aao ki duniyā se jā rahā hai koī
gham-e-hayat ka jhagDa miTa raha hai koi
chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī ik imtihāñ hai imtihāñ kā Dar nahīñ
ham añdheroñ se guzar kar raushnī kahlā.eñge
zindagi ek imtihan hai imtihan ka Dar nahin
hum andheron se guzar kar raushni kahlaenge
kabhī kabhī tū mujhe yaad kar to letī hai
sukūn itnā sā kaafī hai zindagī ke liye
kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai
sukun itna sa kafi hai zindagi ke liye
sabhī ne lagāyā hai chehre pe chehra
kise yaad rakkheñ kise bhuul jaa.eñ
sabhi ne lagaya hai chehre pe chehra
kise yaad rakkhen kise bhul jaen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo moḌ jis ne hameñ ajnabī banā Daalā
us ek moḌ pe dil ab bhī gungunātā hai
wo moD jis ne hamein ajnabi bana Dala
us ek moD pe dil ab bhi gungunata hai
ġhamoñ ne gher liyā hai mujhe to kyā ġham hai
maiñ muskurā ke jiyūñgā tirī ḳhushī ke liye
ghamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai
main muskura ke jiyunga teri KHushi ke liye