Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sarfraz Danish

1942 | Bhopal, India

Sher of Sarfraz Danish

ġham sūraj to Dūbtā nahīñ

dhuup dhuup hai kidhar jaa.eñ

gham ka suraj to Dubta hi nahin

dhup hi dhup hai kidhar jaen

shahr bhar ke ā.īnoñ par ḳhaak Daalī jā.egī

aaj phir sachchā.ī sūrat chhupā jā.egī

shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi

aaj phir sachchai ki surat chhupa li jaegi

tilism toḌ diyā ik sharīr bachche ne

mirā vajūd udāsī isti.ārā thā

tilism toD diya ek sharir bachche ne

mera wajud udasi ka istiara tha

raat sarhad yaqīnan aa ga.ī

jism se saayā judā hone lagā

raat ki sarhad yaqinan aa gai

jism se saya juda hone laga

hamārā sher bhī lauh-e-tilism hai shāyad

har ek ruḳh se hameñ be-naqāb kartā hai

hamara sher bhi lauh-e-tilism hai shayad

har ek ruKH se hamein be-naqab karta hai

chand lamhe ko ḳhvāboñ meñ bhī aa kar jhāñk le

zindagī tujh se mile kitne zamāne ho ga.e

chand lamhe ko tu KHwabon mein bhi aa kar jhank le

zindagi tujh se mile kitne zamane ho gae

ham apne jalte hue ghar ko kaise ro lete

hamāre chāroñ taraf ek nazārā thā

hum apne jalte hue ghar ko kaise ro lete

hamare chaaron taraf ek hi nazara tha

Recitation

Speak Now