Sattar Syed
Ghazal 12
Sher-o-Shayari 6
sahar ko saath uḌā le ga.ī sabā jaise
ye kis ne kar diye raste dhuāñ dhuāñ mere
sahar ko sath uDa le gai saba jaise
ye kis ne kar diye raste dhuan dhuan mere
-
Share this
- See Ghazal
lahū meñ phuul khilāne kahāñ se aate haiñ
na.e ḳhayāl na jaane kahāñ se aate haiñ
lahu mein phul khilane kahan se aate hain
nae KHayal na jaane kahan se aate hain
-
Share this
- See Ghazal
kab ban-bās kaTe is shahar ke logoñ kā
qufl khuleñ kab jaane band makānoñ ke
kab ban-bas kaTe is shahar ke logon ka
qufl khulen kab jaane band makanon ke
-
Share this
- See Ghazal
yuuñ ehtimām-e-radd-e-sahar kar diyā gayā
har raushnī ko shahr-badar kar diyā gayā
yun ehtimam-e-radd-e-sahar kar diya gaya
har raushni ko shahr-badar kar diya gaya
-
Share this
- See Ghazal
samundaroñ ko sikhātā hai kaun tarz-e-ḳhirām
zamīñ kī tah meñ ḳhazāne kahāñ se aate haiñ
samundaron ko sikhata hai kaun tarz-e-KHiram
zamin ki tah mein KHazane kahan se aate hain
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
vo charaaG saa kaf-e-rahguzaar me.n kaun thaa mai.n kahaa.n thaa aur mire intizaar me.n kaun thaa ko.ii dhuul u.Dtii thii raasto.n pe na khul sakaa vo Ganiim thaa ki kumak Gubaar me.n kaun thaa ko.ii shaam halqa-e-dostaa.n me.n guzaartaa jise jaa ke miltaa mai.n us dayaar me.n kaun thaa mire KHvaab kis ne churaa liye sar-e-shaam-e-Gam mirii umr jis ke thii iKHtiyaar me.n kaun thaa