Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sayyada Arshia Haq

1990 | Sydney, Australia

Sher of Sayyada Arshia Haq

1.5K
Favorite

SORT BY

tum bhī āḳhir ho mard kyā jaano

ek aurat dard kyā jaano

tum bhi aaKHir ho mard kya jaano

ek aurat ka dard kya jaano

aurat ho tum to tum pe munāsib hai chup raho

ye bol ḳhāndān izzat pe harf hai

aurat ho tum to tum pe munasib hai chup raho

ye bol KHandan ki izzat pe harf hai

ḳhabar kar de koī us be-ḳhabar ko

mirī hālat bigaḌtī rahī hai

KHabar kar de koi us be-KHabar ko

meri haalat bigaDti ja rahi hai

sab yahāñ 'jaun' ke divāne haiñ

'haq' kaho kaun tum ko chāhegā

sab yahan 'jaun' ke diwane hain

'haq' kaho kaun tum ko chahega

yahī duā hai vo merī duā nahīñ suntā

ḳhudā jo hotā agar kyā ḳhudā nahīñ suntā

yahi dua hai wo meri dua nahin sunta

KHuda jo hota agar kya KHuda nahin sunta

jism ko paḌhte rahe vo ruuh tak aa.e nahīñ

'jaun' ko paḌhte rahe 'majrūh' tak aa.e nahīñ

jism ko paDhte rahe wo ruh tak aae nahin

'jaun' ko paDhte rahe 'majruh' tak aae nahin

tumheñ lagtā hai jo vaisī nahīñ huuñ

maiñ achchhī huuñ magar itnī nahīñ huuñ

tumhein lagta hai jo waisi nahin hun

main achchhi hun magar itni nahin hun

tumhāre ḳhat jalā kar ke tumheñ yaksar bhulā dūñgī

tumhāre jurm tum ko maiñ is darja sazā dūñgī

tumhaare KHat jala kar ke tumhein yaksar bhula dungi

tumhaare jurm ki tum ko main is darja saza dungi

balā husn-var hai 'arshiyā-haq'

hasad rakhtī haiñ sab jannat hūreñ

bala ki husn-war hai 'arshiya-haq'

hasad rakhti hain sab jannat ki huren

to kyā huā jo janmī thī pardes meñ kabhī

beTī hai 'arshiya' bhī to hindostān

to kya hua jo janmi thi pardes mein kabhi

beTi hai 'arshiya' bhi to hindostan ki

hijāb karne bandish mujhe gavārā nahīñ

ki merā jism koī māl-e-zar tumhārā nahīñ

hijab karne ki bandish mujhe gawara nahin

ki mera jism koi mal-e-zar tumhaara nahin

chaman meñ na bulbul gūñje tarāna

yahī bāġhbān-e-chaman chāhtā hai

chaman mein na bulbul ka gunje tarana

yahi baghban-e-chaman chahta hai

tumhārā roz jo maiñ sarf kartī rahtī huuñ

tumheñ gumān na ho tum mirī mohabbat ho

tumhaara roz jo main sarf karti rahti hun

tumhein guman na ho tum meri mohabbat ho

'arshiyā-haq' ke parastāroñ meñ ho

tum bhī kāfir ho gunahgāroñ meñ ho

'arshiya-haq' ke parastaron mein ho

tum bhi kafir ho gunahgaron mein ho

apnī sūrat-e-zard chhupātī phirtī huuñ

sab se apnā dard chhupātī phirtī huuñ

apni surat-e-zard chhupati phirti hun

sab se apna dard chhupati phirti hun

maiñ ḳhud pe zabt khotī rahī huuñ

judā.ī kyā sitam-ālūd shai hai

main KHud pe zabt khoti ja rahi hun

judai kya sitam-alud shai hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now