Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sehr Ishqabadi's Photo'

Sehr Ishqabadi

1903 - 1978

Sher of Sehr Ishqabadi

pahlī lazzateñ nahīñ ab dard-e-ishq meñ

kyuuñ dil ko maiñ ne zulm ḳhūgar banā diyā

pahli si lazzaten nahin ab dard-e-ishq mein

kyun dil ko main ne zulm ka KHugar bana diya

aah kartā huuñ to aatī hai palaT kar ye sadā

āshiqoñ ke vāste bāb-e-asar khultā nahīñ

aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada

aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin

vo dard hai ki dard sarāpā banā diyā

maiñ vo marīz huuñ jise iisā bhī chhoḌ de

wo dard hai ki dard sarapa bana diya

main wo mariz hun jise isa bhi chhoD de

husn har ḳhayāl raushan hai

ishq mudda.ā kise mālūm

husn ka har KHayal raushan hai

ishq ka muddaa kise malum

ek ham haiñ raat bhar karvaT badalte kaTī

ek vo haiñ din chaḌhe tak jin dar khultā nahīñ

ek hum hain raat bhar karwaT badalte hi kaTi

ek wo hain din chaDhe tak jin ka dar khulta nahin

guzarne ko to guzre rahe haiñ rāh-e-hastī se

magar hai kārvāñ apnā na mīr-e-kārvāñ apnā

guzarne ko to guzre ja rahe hain rah-e-hasti se

magar hai karwan apna na mir-e-karwan apna

terī jafā vafā sahī merī vafā jafā sahī

ḳhuun kisī bhī nahīñ to ye batā hai kyā shafaq

teri jafa wafa sahi meri wafa jafa sahi

KHun kisi ka bhi nahin to ye bata hai kya shafaq

dāvar ne bande bandoñ ne dāvar banā diyā

sāgar ne qatre qatroñ ne sāgar banā diyā

TRANSLATION

God created humans, and then got created by them,

Ocean created drops, and then got created by them.

Sagar Akbarabadi

dawar ne bande bandon ne dawar bana diya

sagar ne qatre qatron ne sagar bana diya

TRANSLATION

God created humans, and then got created by them,

Ocean created drops, and then got created by them.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now