Sher of Shahid Ghazi
tujhe is gaañv se jaanā hai ik din
havelī kyuuñ banānā chāhtā hai
tujhe is ganw se jaana hai ek din
haweli kyun banana chahta hai
mājhī ne Duboyā hai lahroñ ne uchhālā hai
gardish ke samundar kā dastūr nirālā hai
majhi ne Duboya hai lahron ne uchhaala hai
gardish ke samundar ka dastur nirala hai
muflisoñ kī bastī ko bekasī ne gherā hai
har taraf udāsī hai zulmatoñ kā Derā hai
muflison ki basti ko bekasi ne ghera hai
har taraf udasi hai zulmaton ka Dera hai
is rañg badaltī duniyā meñ pahchān baḌī hī mushkil hai
ye kis ko ḳhabar hai ai 'shāhid' kis bhes meñ kaun luTerā hai
is rang badalti duniya mein pahchan baDi hi mushkil hai
ye kis ko KHabar hai ai 'shahid' kis bhes mein kaun luTera hai
terī fayyāzī ke the charche bahut maiñ ne sune
phir bhī tere mai-kade se tishna-kām aayā huuñ maiñ
teri fayyazi ke the charche bahut main ne sune
phir bhi tere mai-kade se tishna-kaam aaya hun main