aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
us ko burā kah de magar sun le itnī baat
apne andar jhāñk kar dekh apnī auqāt
us ko bura kah de magar sun le itni baat
apne andar jhank kar dekh apni auqat
jīvan daatā ne kiyā kaisā anokhā kaam
miTTī se āġhāz hai miTTī meñ anjām
jiwan data ne kiya kaisa anokha kaam
miTTi se aaghaz hai miTTi mein anjam
dekho mere dost ko jaise sundar phuul
vaqt-e-musībat yuuñ gayā juuñ uḌ jaa.e dhuul
dekho mere dost ko jaise sundar phul
waqt-e-musibat yun gaya jun uD jae dhul
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books