Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shamim Hanafi's Photo'

Shamim Hanafi

1939 - 2021 | Delhi, India

One of the most prominent modern critics and scholar of Indian culture

One of the most prominent modern critics and scholar of Indian culture

Sher of Shamim Hanafi

maiñ ne chāhā thā ki lafzoñ meñ chhupā luuñ ḳhud ko

ḳhāmushī lafz dīvār girā detī hai

main ne chaha tha ki lafzon mein chhupa lun KHud ko

KHamushi lafz ki diwar gira deti hai

shaam ne barf pahan rakkhī thī raushniyāñ bhī ThanDī thiiñ

maiñ is ThanDak se ghabrā kar apnī aag meñ jalne lagā

sham ne barf pahan rakkhi thi raushniyan bhi ThanDi thin

main is ThanDak se ghabra kar apni aag mein jalne laga

band kar le khiḌkiyāñ yuuñ raat ko bāhar na dekh

Dūbtī āñkhoñ se apne shahr manzar na dekh

band kar le khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh

Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh

tamām umr na.e lafz talāsh rahī

kitāb-e-dard mazmūñ thā pā.emāl aisā

tamam umr nae lafz ki talash rahi

kitab-e-dard ka mazmun tha paemal aisa

vo ek shor zindāñ meñ raat bhar kyā thā

mujhe ḳhud apne badan meñ kisī Dar kyā thā

wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha

mujhe KHud apne badan mein kisi ka Dar kya tha

bulandiyāñ āsmāñ sūrat zamīn ke paañv chūmtī haiñ

zamīn shāyad buland-tar thī zamīn meñ utar gayā vo

bulandiyan aasman ki surat zamin ke panw chumti hain

zamin shayad buland-tar thi zamin hi mein utar gaya wo

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now