Sher of Sharib Mauranwi
peḌ ke nīche zarā sī chhāñv jo us ko milī
so gayā mazdūr tan par boriyā oḌhe hue
peD ke niche zara si chhanw jo us ko mili
so gaya mazdur tan par boriya oDhe hue
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saroñ pe oḌh ke mazdūr dhuup kī chādar
ḳhud apne sar pe use sā.ebāñ samajhne lage
saron pe oDh ke mazdur dhup ki chadar
KHud apne sar pe use saeban samajhne lage
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī ko maar ke ḳhush ho rahe haiñ dahshat-gard
kahīñ pe shām-e-ġharībāñ kahīñ divālī hai
kisi ko mar ke KHush ho rahe hain dahshat-gard
kahin pe sham-e-ghariban kahin diwali hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham aise dasht kā tālāb haiñ jahāñ paanī
koī bhī sher ho gardan jhukā ke piitā hai
hum aise dasht ka talab hain jahan pani
koi bhi sher ho gardan jhuka ke pita hai
sab ek jaisī haiñ duniyā kī ‘aurateñ lekin
tumhāre Dasne kā andāz muḳhtalif Thahrā
sab ek jaisi hain duniya ki ‘auraten lekin
tumhaare Dasne ka andaz muKHtalif Thahra
us ne hoñToñ pe lab rakhe bhī na the
mujh meñ sūraj tulū' hone lagā
us ne honTon pe lab rakhe bhi na the
mujh mein suraj tulu' hone laga
ruḳh pe aa jaatā hai jis roz tamanna kā buḳhār
raat ho jaatī hai chehra mujhe dhote dhote
ruKH pe aa jata hai jis roz tamanna ka buKHar
raat ho jati hai chehra mujhe dhote dhote
puurī duniyā mujhe fankār samajhtī hai to kyā
mere ghar vaale to nākāra samajhte haiñ mujhe
puri duniya mujhe fankar samajhti hai to kya
mere ghar wale to nakara samajhte hain mujhe
tumheñ bhī ek din maiñ DhūñDhtā huā aatā
magar ye ruuh kisī aur ke hisār meñ hai
tumhein bhi ek din main DhunDhta hua aata
magar ye ruh kisi aur ke hisar mein hai
qafas ke band parinde haiñ jin kī āñkhoñ meñ
asīrī ghūmtī rahtī hai qaid-ḳhānoñ kī
qafas ke band parinde hain jin ki aankhon mein
asiri ghumti rahti hai qaid-KHanon ki
shajar pe baiThe parindoñ kā shor kāTtā hai
daraḳht ko mire ghar se ukhāḌ de koī
shajar pe baiThe parindon ka shor kaTta hai
daraKHt ko mere ghar se ukhaD de koi
siyāh shab meñ charāġhoñ se dostī karnā
hameñ pasand nahīñ ghar meñ dushmanī karnā
siyah shab mein charaghon se dosti karna
hamein pasand nahin ghar mein dushmani karna
aaj maiñ aa.ina na dekhūñgā
is meñ sīrat dikhā.ī detī hai
aaj main aaina na dekhunga
is mein sirat dikhai deti hai
kabhī milo to dikhā.ūñ udāsiyoñ kā safar
jinheñ maiñ ruuh kī gahrā.iyoñ meñ rakhtā huuñ
kabhi milo to dikhaun udasiyon ka safar
jinhen main ruh ki gahraiyon mein rakhta hun
mirī āñkheñ yahāñ tanhā paḌī haiñ
to us kā kaun pīchhā kar rahā hai
meri aankhen yahan tanha paDi hain
to us ka kaun pichha kar raha hai