Sher of Shaukat Fahmi
ik umr tak maiñ us kī zarūrat banā rahā
phir yuuñ huā ki us kī zarūrat badal ga.ī
ek umr tak main us ki zarurat bana raha
phir yun hua ki us ki zarurat badal gai
hamāre paas sunāne ko kuchh nahīñ 'fahmī'
hameñ to ḳhvāb bhī dekhe hue zamāna huā
hamare pas sunane ko kuchh nahin 'fahmi'
hamein to KHwab bhi dekhe hue zamana hua
badlā jo vaqt gahrī rifāqat badal ga.ī
sūraj Dhalā to saa.e kī sūrat badal ga.ī
badla jo waqt gahri rifaqat badal gai
suraj Dhala to sae ki surat badal gai
āḳhrī bas hai aur nikalne vaalī hai
aa jaao ik seat barābar ḳhālī hai
aaKHri bas hai aur nikalne wali hai
aa jao ek seat barabar KHali hai
vo ek shaḳhs kisī taur jo mirā na huā
mirī balā se kisī kā huā huā na huā
wo ek shaKHs kisi taur jo mera na hua
meri bala se kisi ka hua hua na hua
dhyān meñ koī chehra lā kar marzī kā
āñkheñ bun letī haiñ manzar marzī kā
dhyan mein koi chehra la kar marzi ka
aankhen bun leti hain manzar marzi ka
shahr kī hālat itnī bhī maḳhdūsh nahīñ
dekho maiñ ne aaj bhī jaan bachā lī hai
shahr ki haalat itni bhi maKHdush nahin
dekho main ne aaj bhi jaan bacha li hai
dhuup ghaḌe se le ga.ī saare paanī ko
kavvā DhūñDhtā rah gayā kankar marzī kā
dhup ghaDe se le gai sare pani ko
kawwa DhunDhta rah gaya kankar marzi ka
ham diye haiñ havā ke raste meñ
aur tartīb se dhare hue haiñ
hum diye hain hawa ke raste mein
aur tartib se dhare hue hain
kahānī ko sameTo jald 'fahmī'
thake haiñ log sonā chāhte haiñ
kahani ko sameTo jald 'fahmi'
thake hain log sona chahte hain
zarā shādāb honā chāhte haiñ
hameñ rone do ronā chāhte haiñ
zara shadab hona chahte hain
hamein rone do rona chahte hain
log ab is tarah Dare hue haiñ
aañkh ḳhālī hai dil bhare hue haiñ
log ab is tarah Dare hue hain
aankh KHali hai dil bhare hue hain
isī liye mujhe raste meñ shaam aa.ī hai
maiñ apnī samt baḌī der se ravāna huā
isi liye mujhe raste mein sham aai hai
main apni samt baDi der se rawana hua