Sher of Sheri Bhopali
ye baazī mohabbat kī baazī hai nādāñ
ise jītnā hai to haare chalā jā
ye bazi mohabbat ki bazi hai nadan
ise jitna hai to haare chala ja
barābar ḳhafā hoñ barābar manā.eñ
na tum baaz aao na ham baaz aa.eñ
barabar KHafa hon barabar manaen
na tum baz aao na hum baz aaen
sunñe meñ aa rahe haiñ masarrat ke vāqi.āt
jamhūriyat kā husn numāyāñ hai āj-kal
sunne mein aa rahe hain masarrat ke waqiat
jamhuriyat ka husn numayan hai aaj-kal
-
Tag : Democracy
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat ma.anī o alfāz meñ laa.ī nahīñ jaatī
ye vo nāzuk haqīqat hai jo samjhā.ī nahīñ jaatī
mohabbat mani o alfaz mein lai nahin jati
ye wo nazuk haqiqat hai jo samjhai nahin jati
qayāmat hai ye kah kar us ne lauTāyā hai qāsid ko
ki un kā to har ik ḳhat āḳhirī paiġhām hotā hai
qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko
ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai
abhī to dil meñ halkī sī ḳhalish mahsūs hotī hai
bahut mumkin hai kal is kā mohabbat naam ho jaa.e
abhi to dil mein halki si KHalish mahsus hoti hai
bahut mumkin hai kal is ka mohabbat nam ho jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamannā hai yahī dil kī vahīñ chaliye vahīñ chaliye
vo mahfil aah jis mahfil meñ duniyā luT ga.ī apnī
tamanna hai yahi dil ki wahin chaliye wahin chaliye
wo mahfil aah jis mahfil mein duniya luT gai apni
qat.a hotī jā rahī haiñ zindagī kī manzileñ
har nafs apnī jagah chaltī huī talvār hai
qata hoti ja rahi hain zindagi ki manzilen
har nafs apni jagah chalti hui talwar hai