Sher of Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
mohabbat ko bahut hotī hai ġhairat
ḳhatā un kī hai maiñ sharmā rahā huuñ
mohabbat ko bahut hoti hai ghairat
KHata un ki hai main sharma raha hun
koī ham se ḳhafā sā lagtā hai
varna dil kyuuñ bujhā sā lagtā hai
koi hum se KHafa sa lagta hai
warna dil kyun bujha sa lagta hai
saath terā rahā nahīñ baaqī
varna duniyā meñ kyā nahīñ baaqī
sath tera raha nahin baqi
warna duniya mein kya nahin baqi
ik dā.imī sukūñ kī tamannā hai raat din
tañg aa ga.e haiñ gardish-e-shām-o-sahar se ham
ek daimi sukun ki tamanna hai raat din
tang aa gae hain gardish-e-sham-o-sahar se hum
vo nikle haiñ sarāpā ban-sañvar kar
qayāmat aa.egī ye aaj tai hai
wo nikle hain sarapa ban-sanwar kar
qayamat aaegi ye aaj tai hai
chāhe dīvāna kaheñ yā log saudā.ī kaheñ
aa ga.e ham sar ko le kar pattharoñ ke shahr meñ
chahe diwana kahen ya log saudai kahen
aa gae hum sar ko le kar pattharon ke shahr mein
hijr meñ yuuñ bahte haiñ aañsū
jaise rim-jhim barse sāvan
hijr mein yun bahte hain aansu
jaise rim-jhim barse sawan
pathrā.ī āñkhoñ meñ dekho kyā kyā rañg dikhātā aañsū
Thahar gayā to ik qatra sā bah niklā to dariyā aañsū
pathrai aankhon mein dekho kya kya rang dikhata aansu
Thahar gaya to ek qatra sa bah nikla to dariya aansu
kahīñ āñsuoñ se likhā huā kahīñ āñsuoñ se miTā huā
lauh-e-dil pe jis ke nishān haiñ vahī ek naam qubūl hai
kahin aansuon se likha hua kahin aansuon se miTa hua
lauh-e-dil pe jis ke nishan hain wahi ek nam qubul hai
sukūñ-afzā bahut hai dard-e-ulfat
qarār ab umr bhar aa.e na aa.e
sukun-afza bahut hai dard-e-ulfat
qarar ab umr bhar aae na aae