Shohrat Bukhari
Ghazal 34
Sher-o-Shayari 8
ham-safar ho to koī apnā-sā
chāñd ke saath chaloge kab tak
ham-safar ho to koi apna-sa
chand ke sath chaloge kab tak
-
Share this
- See Ghazal
haañ ai ġham-e-ishq mujh ko pahchān
dil ban ke dhaḌak rahā huuñ kab se
han ai gham-e-ishq mujh ko pahchan
dil ban ke dhaDak raha hun kab se
-
Share this
- See Ghazal
har samt falak-bos pahāḌoñ kī qatāreñ
'ḳhusrav' hai na 'shīrīñ' hai na tesha hai na farhād
har samt falak-bos pahaDon ki qataren
'KHusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad
-
Share this
- See Ghazal
kuchh aisā dhuāñ hai ki ghuTTī jaatī haiñ sāñseñ
is raat ke ba.ad aaoge shāyad na kabhī yaad
kuchh aisa dhuan hai ki ghuTTi jati hain sansen
is raat ke baad aaoge shayad na kabhi yaad
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 9
Image Shayari 3
but bane raah takoge kab tak aas kii aa.nch sahoge kab tak sar uThaa kar kabhii dekho to sahii dil kii duniyaa me.n basoge kab tak jis ne apnii bhii KHabar lii na kabhii tum use yaad karoge kab tak ham-safar ho to ko.ii apnaa-saa chaa.nd ke saath chaloge kab tak ko.ii pattaa hai na buuTaa hai na gul dasht ko baaG kahoge kab tak har taraf aag barastii hai yahaa.n kis tavaqqo.a pe rahoge kab tak aa.ndhiyaa.n tez hu.ii jaatii hai.n ghar bulaataa hai chaloge kab tak ko.ii jaa kar nahii.n aataa 'shohrat' suurat-e-sham.a ghuloge kab tak