Sher of Sifar Sharma
ab kahāñ jā.eñge ai dillī tujhe ham chhoḌ kar
terī ḳhātir sab galī kūchoñ kā dil toḌ aa.e haiñ
ab kahan jaenge ai dilli tujhe hum chhoD kar
teri KHatir sab gali kuchon ka dil toD aae hain
kānoñ meñ gūñjtī hai vo āvāz dam-ba-dam
ik haath rah gayā hai kahīñ haath chhoḌ kar
kanon mein gunjti hai wo aawaz dam-ba-dam
ek hath rah gaya hai kahin hath chhoD kar
kahte haiñ aise vaqt meñ vājib hai jhuuT bhī
tū jhuuT koī bol ki dil phir se jī uThe
kahte hain aise waqt mein wajib hai jhuT bhi
tu jhuT koi bol ki dil phir se ji uThe
ye saare zaḳhmī gūñge haiñ
ye saarī duniyā andhī hai
ye sare zaKHmi gunge hain
ye sari duniya andhi hai
shamshīr ba-kaf huuñ na koī jism meñ jumbish
maiñ kis ke muqābil huuñ ki maarā nahīñ jaatā
shamshir ba-kaf hun na koi jism mein jumbish
main kis ke muqabil hun ki mara nahin jata
nashsha-e-hosh chaḌhā jaatā hai rafta rafta
zindagī phir se huī jaatī hai mub.ham mub.ham
nashsha-e-hosh chaDha jata hai rafta rafta
zindagi phir se hui jati hai mubham mubham
dil-zamīneñ 'ishq ke mausam meñ ḳhālī ho ga.iiñ
ug rahī haiñ un pe ab be-mausamī tanhā.iyāñ
dil-zaminen 'ishq ke mausam mein KHali ho gain
ug rahi hain un pe ab be-mausami tanhaiyan
chaak pe rakkhī hai ye duniyā
kūza-gar behosh paḌā hai
chaak pe rakkhi hai ye duniya
kuza-gar behosh paDa hai
koī nahīñ jo uñgliyoñ se dard khīñchtā
apnā hī haath pher liyā sar pe bārhā
koi nahin jo ungliyon se dard khinchta
apna hi hath pher liya sar pe barha
ham raahī iklaute the aur vaqt kī piiTh pe baiThe the
din nikle tak manzil pā lī shaam talak ruḳh moḌ liyā
hum rahi iklaute the aur waqt ki piTh pe baiThe the
din nikle tak manzil pa li sham talak ruKH moD liya
ab to vahāñ haiñ jis kā bayāñ bhī hai lā-vajūd
sadmoñ pe haa.e haa.e kare ab vo dil kahāñ
ab to wahan hain jis ka bayan bhi hai la-wajud
sadmon pe hae hae kare ab wo dil kahan
shauq meñ pahnī thī bas zanjīr kyā mā'lūm thā
beḌiyoñ kī shakl le legī ye nāgin ek din
shauq mein pahni thi bas zanjir kya ma'lum tha
beDiyon ki shakl le legi ye nagin ek din
havā hai āsmāñ hai aag hai paanī hai miTTī hai
nuqūsh-e-yār gar hote to maiñ duniyā banā letā
hawa hai aasman hai aag hai pani hai miTTi hai
nuqush-e-yar gar hote to main duniya bana leta