Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sir Syed Ahmad Khan's Photo'

Sir Syed Ahmad Khan

1817 - 1898 | Aligarh, India

Eminent intellectual, statesman and educationist,founder of Aligarh Muslim University

Quotes of Sir Syed Ahmad Khan

155
Favorite

SORT BY

Main apni zabaan se wo muraad leta hun jo kisi mulk mein is tarah par mustaamal ho ki har shakhs usko samajhta ho aur wo us mein baat-cheet karta ho. Khwaah wo us mulk ki asli zabaan ho ya na ho aur usi zabaan par main varanekular ke lafz ka istemaal karta hun.

(taqreer-e-banaaras, 20 September 1867)

Be-ilmi muflisi ki maan hai. jis qaum mein ilm-o-hunar nahi rahta wahaan muflisi aati hai aur jab muflisi aati hai to hazaaron jurmon ke sarzad hone ka baais hoti hai.

(taqreer-e-jalsa-e-azeemaabaad paṭna, 26 may)

Jisko izzat hai usko ghairat hai, jisko ghairat hai usko izzat hai.

Bade bade hakeem aur aalim, wali-o-abdaal, nek-o-aql-mand, bahaadur-o-naam-var eik ganwaar aadmi ki si soorat mein chhupe hue hote hain magar unki ye tamaam khoobiyaan umda taaleem ke zariye se zaahir hoti hain.

(tahzeeb-ul-akhlaaq baabat yakum shawwaal 1289 hijri)

Hamaare kalaam mein wo lafz jo mohazzibaana guftugoo mein hote hain, nihaayat kam mustaamal hain aur isliye uski islaah bahut zaroorat hai.

Lahja: Isko bhi tahzeeb mein bada daakhal hai. akkhad lahja is qism ki aawaaz jisse shubha ho ki aadmi bolte hain ya jaanavar ladte hain, na-shaista hone ki nishaani hai.

Sabse bada aib hum mein khud-gharzi ka hai aur yahi muqddama sabab qaumi zillat aur na-muhazzab hone ka hai. hum mein se har eik ko zroor hai ki rifaah-e-aam ka josh dil mein paida karein aur yaqeen janein ki khud-gharaz se tamaam qaum ki aur uske saath apni bhi barbaadi hogi.

Raayon ke band rahne se tamaam insaanon ki haq-talfi hoti hai aur kul insaanon ko nuqsaan pahunchta hai aur na sirf maujooda insaanon ko, balki unko bhi jo aainda paida honge.

Hum log aapas mein kisi ko hindu, kisi ko musalmaan kahein magar ghair-mulk mein hum sab native yaani hindustaani kahlaaye jaate hain. ghair-mulk waale khuda-bakhsh aur ganga raam donon ko hindustaani kahte hain.

(taqreer-e-sir sayyad jo anjuman islamiya, amṛitsar ke address ke jawaab mein 26 January 1884 AD. ko ki gaee)

Jo baatein hamaare mukhaalif hamaari nisbat mansoob karte hain, hum usse ziyaada ilzaam ke laayaq hain. farz karo wo baatein hum mein na hon magar aur baatein usse bhi ziyaada bad-tar hum mein maujood hain.

(tahzeeb-ul-akhlaaq, yakum rajab 1290 hijri)

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now