Sher of Syed Anwar Ahmad
is pal do pal kī hastī meñ
kyā terā hai kyā merā hai
is pal do pal ki hasti mein
kya tera hai kya mera hai
in se āvāz-e-karb aatī hai
zard pattoñ pe mat chale koī
in se aawaz-e-karb aati hai
zard patton pe mat chale koi
vo mujh se pūchhne lagā mere savāl ab
aur maiñ bhī de rahā huuñ jo is ke javāb the
wo mujh se puchhne laga mere sawal ab
aur main bhi de raha hun jo is ke jawab the
kuchh ma.arke hamāre bhī ham tak hī rah ga.e
gumnām ik sipāhī kī ḳhidmāt kī tarah
kuchh marke hamare bhi hum tak hi rah gae
gumnam ek sipahi ki KHidmat ki tarah
apne liye bhī koī ri.āyat ravā nahīñ
is munsifī kī ḳhū ne to saffāk kar diyā
apne liye bhi koi riayat rawa nahin
is munsifi ki KHu ne to saffak kar diya
faqīh-e-shahr se kuchh ḳhaas dushmanī to nahīñ
faqīh-e-shahr se lekin Thanī sī rahtī hai
faqih-e-shahr se kuchh KHas dushmani to nahin
faqih-e-shahr se lekin Thani si rahti hai
bolī lagī mata-e-hunar kī to ahl-e-fan
jaldī meñ apne ḳhvāb bhī nīlām kar ga.e
boli lagi mata-e-hunar ki to ahl-e-fan
jaldi mein apne KHwab bhi nilam kar gae