Sher of Syed Nawab Afsar Lakhnavi
nāḳhudā maujoñ kī is narm-ḳhirāmī pe na jā
yahī maujeñ to badal jaatī haiñ tūfānoñ meñ
naKHuda maujon ki is narm-KHirami pe na ja
yahi maujen to badal jati hain tufanon mein
numūd-e-sub.h se shab kī vo tīrgī to ga.ī
ye aur baat ki sūraj meñ raushnī kam hai
numud-e-subh se shab ki wo tirgi to gai
ye aur baat ki suraj mein raushni kam hai
allāh allāh ye hañgāma-e-paikār-e-hayāt
ab vo āvāz bhī dete haiñ to sunte nahīñ ham
allah allah ye hangama-e-paikar-e-hayat
ab wo aawaz bhi dete hain to sunte nahin hum
kyā kaheñ bazm meñ kuchh aisī jagah baiThe haiñ
jām-e-mai hādsa ban jaa.e to ham tak pahuñche
kya kahen bazm mein kuchh aisi jagah baiThe hain
jam-e-mai hadsa ban jae to hum tak pahunche
hukm-e-lab-bandī faroġh-e-dāstāñ bantā gayā
zaḳhm ko jitnā dabāyā ḳhūñ-chakāñ bantā gayā
hukm-e-lab-bandi farogh-e-dastan banta gaya
zaKHm ko jitna dabaya KHun-chakan banta gaya