Sher of Syed Shakeel Desnavi
rishta rahā ajiib mirā zindagī ke saath
chaltā ho jaise koī kisī ajnabī ke saath
rishta raha ajib mera zindagi ke sath
chalta ho jaise koi kisi ajnabi ke sath
maut ke ḳhuñḳhār panjoñ meñ sisaktī hai hayāt
aaj hai insāniyat kī har adā sahmī huī
maut ke KHunKHar panjon mein sisakti hai hayat
aaj hai insaniyat ki har ada sahmi hui
gard-e-safar ke saath thā vābasta intizār
ab to kahīñ ġhubār bhī baaqī nahīñ rahā
gard-e-safar ke sath tha wabasta intizar
ab to kahin ghubar bhi baqi nahin raha
us se bachhḌā to yuuñ lagā jaise
koī mujh meñ bikhar gayā sāhab
us se bachhDa to yun laga jaise
koi mujh mein bikhar gaya sahab
'shakīl' hijr ke zīnoñ pe ruk ga.iiñ yādeñ
isī maqām par aa kar Thahar ga.ī shab bhī
'shakil' hijr ke zinon pe ruk gain yaaden
isi maqam par aa kar Thahar gai shab bhi
phir koī choT ubhrī dil meñ kasak sī jaagī
yādoñ kī aaj shāyad purvā.ī chal rahī hai
phir koi choT ubhri dil mein kasak si jagi
yaadon ki aaj shayad purwai chal rahi hai
ahrman kā raqs-e-vahshat har galī har moḌ par
barbariyyat dekh kar hai ḳhud qazā sahmī huī
ahrman ka raqs-e-wahshat har gali har moD par
barbariyyat dekh kar hai KHud qaza sahmi hui