Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tauseef Tabassum's Photo'

Tauseef Tabassum

1928 | Islamabad, Pakistan

Sher of Tauseef Tabassum

786
Favorite

SORT BY

paañv meñ lipTī huī hai sab ke zanjīr-e-anā

sab musāfir haiñ yahāñ lekin safar meñ kaun hai

panw mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-ana

sab musafir hain yahan lekin safar mein kaun hai

shauq kahtā hai ki har jism ko sajda kiije

aañkh kahtī hai ki ne abhī dekhā kyā hai

shauq kahta hai ki har jism ko sajda kije

aankh kahti hai ki tu ne abhi dekha kya hai

dil baazī haar ke ro.e ho to ye bhī sun rakkho

aur abhī tum pyaar karoge aur abhī pachhtāoge

dil ki bazi haar ke roe ho to ye bhi sun rakkho

aur abhi tum pyar karoge aur abhi pachhtaoge

achchhā hai ki sirf ishq kiije

ye umr to yuuñ bhī rā.egāñ hai

achchha hai ki sirf ishq kije

ye umr to yun bhi raegan hai

dekhne vaalī agar aañkh ko pahchān sakeñ

rañg ḳhud parda-e-tasvīr se bāhar ho jaa.eñ

dekhne wali agar aankh ko pahchan saken

rang KHud parda-e-taswir se bahar ho jaen

jo bhī narmī hai ḳhayāloñ meñ na hone se hai

ḳhvāb āñkhoñ se nikal jaa.eñ to patthar ho jaa.eñ

jo bhi narmi hai KHayalon mein na hone se hai

KHwab aankhon se nikal jaen to patthar ho jaen

kaun se dukh ko palle bāñdheñ kis ġham ko tahrīr kareñ

yaañ to dard sivā hotā hai aur bhī arz-e-hāl ke ba.ad

kaun se dukh ko palle bandhen kis gham ko tahrir karen

yan to dard siwa hota hai aur bhi arz-e-haal ke baad

dukh jhelo to kaḌā rakhnā

dil hai to hisāb-e-dostāñ hai

dukh jhelo to ji kaDa hi rakhna

dil hai to hisab-e-dostan hai

kyā ye sach hai ki ḳhizāñ meñ bhī chaman khilte haiñ

mere dāman meñ lahū hai to mahaktā kyā hai

kya ye sach hai ki KHizan mein bhi chaman khilte hain

mere daman mein lahu hai to mahakta kya hai

dil bayāz-e-umr aurāq-gardānī meñ hai

kyā ḳhabar hai kaun safha khulā rah jā.egā

dil bayaz-e-umr ki auraq-gardani mein hai

kya KHabar hai kaun sa safha khula rah jaega

Recitation

Speak Now