Sher of Ummaturrauf Nasreen
dekhiye ab na yaad aa.iye aap
aaj kal aap se ḳhafā huuñ maiñ
dekhiye ab na yaad aaiye aap
aaj kal aap se KHafa hun main
kyā tumheñ ahd-e-mohabbat ke vo lamhe yaad haiñ
jab nigāheñ boltī thiiñ aur ham ḳhāmosh the
kya tumhein ahd-e-mohabbat ke wo lamhe yaad hain
jab nigahen bolti thin aur hum KHamosh the
maiñ ne betāb ho ke haath baḌhā.e
us ne betāb ho ke chuum liye
main ne betab ho ke hath baDhae
us ne betab ho ke chum liye
muravvat meñ hone lagā hai izāfa
mohabbat meñ aane lagī hai kamī
murawwat mein hone laga hai izafa
mohabbat mein aane lagi hai kami
tumhārī yaad baḌī ḳhush-gavār thī lekin
dil-e-hazīñ ke liye talḳhiyāñ baḌhā bhī ga.ī
tumhaari yaad baDi KHush-gawar thi lekin
dil-e-hazin ke liye talKHiyan baDha bhi gai
vo multafit the ham hī bayāñ kar sake na haal
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagā ga.e
wo multafit the hum hi bayan kar sake na haal
manzil ke pas aa ke qadam Dagmaga gae