Sher of Usman Minai
ho 'mīr' kā zamāna ki maujūda vaqt ho
dillī se lakhna.ū kī hamesha Thanī rahī
ho 'mir' ka zamana ki maujuda waqt ho
dilli se lakhnau ki hamesha Thani rahi
-
Tag : Meer Taqi Meer
diyā bujhāne kī fitrat badal bhī saktī hai
koī charāġh havā par dabāo to Daale
diya bujhane ki fitrat badal bhi sakti hai
koi charagh hawa par dabao to Dale
nishāñ kyoñ DhūñDhte ho uñgliyoñ ke
qazā aa.ī thī dastāne pahan kar
nishan kyon DhunDhte ho ungliyon ke
qaza aai thi dastane pahan kar
ustād-e-mohtaram ne kī islāh she'r kī
lekin halāk she'r kā mafhūm kar diyā
ustad-e-mohtaram ne ki islah she'r ki
lekin halak she'r ka mafhum kar diya
kifāyat se tumheñ ham sochte haiñ
raqam yādoñ kī ab tak chal rahī hai
kifayat se tumhein hum sochte hain
raqam yaadon ki ab tak chal rahi hai
koī bashar kabhī paanī banā nahīñ saktā
ḳhudā ke hone kā pahlā subūt paanī hai
koi bashar kabhi pani bana nahin sakta
KHuda ke hone ka pahla subut pani hai
tumhāre chehre kī saarī naseñ tanī huī haiñ
tumhāre haath meñ kyā aa.ina diyā gayā hai
tumhaare chehre ki sari nasen tani hui hain
tumhaare hath mein kya aaina diya gaya hai
qabza kisī kā paanī pe jaarī na rah sakā
lekin hamārā pyaas pe qabza abhī bhī hai
qabza kisi ka pani pe jari na rah saka
lekin hamara pyas pe qabza abhi bhi hai
aao paanī kā fātiha paḌh leñ
us kī āñkhoñ kā mar gayā paanī
aao pani ka fatiha paDh len
us ki aankhon ka mar gaya pani
ġhamoñ par us ke kabhī e'tibār mat karnā
vo pyaaz kaaT ke aañsū nikāl letā hai
ghamon par us ke kabhi e'tibar mat karna
wo pyaz kaT ke aansu nikal leta hai
dīdār ke sikke jo zarā bhīkh meñ māñge
to us ne kahā jaao jumerāt ko aanā
didar ke sikke jo zara bhikh mein mange
to us ne kaha jao jumeraat ko aana
peḌ par kyā salāḳh niklegī
kal zamīnoñ meñ kiil boī thī
peD par kya salaKH niklegi
kal zaminon mein kil boi thi
neze kī nok terā tah-e-dil se shukriya
ab tak girā nahīñ hai mirā sar zamīn par
neze ki nok tera tah-e-dil se shukriya
ab tak gira nahin hai mera sar zamin par
ġhazloñ ke she'r likhne se pahle hazār baar
ham dekhte haiñ aap kī tasvīr kī taraf
ghazlon ke she'r likhne se pahle hazar bar
hum dekhte hain aap ki taswir ki taraf