Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Waheed Arshi

1943 - 1986 | Kolkata, India

Sher of Waheed Arshi

dil saarā dard simaT aayā hai merī palkoñ meñ

kitne tāj-mahal Dūbeñge paanī in būñdoñ meñ

dil ka sara dard simaT aaya hai meri palkon mein

kitne taj-mahal Dubenge pani ki in bundon mein

ġham-e-hayāt kīleñ thiiñ dast-o-pā meñ jaḌīñ

tamām umr rahe ham salīb par laTke

gham-e-hayat ki kilen thin dast-o-pa mein jaDin

tamam umr rahe hum salib par laTke

bhaag chalūñ yādoñ ke zindāñ se akasr sochā lekin

jab bhī qasd kiyā to dekhā ūñchī hai dīvār bahut

bhag chalun yaadon ke zindan se akasr socha lekin

jab bhi qasd kiya to dekha unchi hai diwar bahut

armāñ ke tābūt meñ jab maiñ vaqt kīleñ gaaḌ chukūñgā

phir jab bhī tum yaad aaoge bah jāoge ashkoñ meñ

arman ke tabut mein jab main waqt ki kilen gaD chukunga

phir jab bhi tum yaad aaoge bah jaoge ashkon mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now