Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wajid Ali Shah Akhtar's Photo'

Wajid Ali Shah Akhtar

1823 - 1887 | Lucknow, India

The last Nawab of Awadh.Great promoter of Indian music, dance and theatre.

The last Nawab of Awadh.Great promoter of Indian music, dance and theatre.

Wajid Ali Shah Akhtar

Ghazal 24

Sher-o-Shayari 12

yahī tashvīsh shab-o-roz hai bangāle meñ

lucknow phir kabhī dikhlā.e muqaddar merā

yahi tashwish shab-o-roz hai bangale mein

lucknow phir kabhi dikhlae muqaddar mera

  • Share this

ulfat ne tirī ham ko to rakkhā na kahīñ

dariyā na jañgal samā na zamīñ

ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka

dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka

dar-o-dīvār pe hasrat se nazar karte haiñ

ḳhush raho ahl-e-vatan ham to safar karte haiñ

dar-o-diwar pe hasrat se nazar karte hain

KHush raho ahl-e-watan hum to safar karte hain

  • Share this

be-muravvat ho bevafā ho tum

apne matlab ke āshnā ho tum

be-murawwat ho bewafa ho tum

apne matlab ke aashna ho tum

kamar dhokā dahan uqda ġhazāl āñkheñ parī chehra

shikam hiirā badan ḳhushbū jabīñ dariyā zabāñ iisā

kamar dhoka dahan uqda ghazal aankhen pari chehra

shikam hira badan KHushbu jabin dariya zaban isa

  • Share this

BOOKS 44

Audios 5

garmiyaa.n shoKHiyaa.n kis shaan se ham dekhte hai.n

Guncha-e-dil khile jo chaaho tum

sunaa hai kuuch to un kaa par is ko kyaa kahiye

Recitation

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now