join rekhta family!
Ghazal 65
Nazm 9
Sher 69
apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise
how do I hide the obvious, which from my face is clear
as you wish me to be seen, how do I thus appear
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
how do I hide the obvious, which from my face is clear
as you wish me to be seen, how do I thus appear
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā
tum ko bhī to andāza lagānā nahīñ aatā
dukh apna agar hum ko batana nahin aata
tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
-
Share this
- See Ghazal
āsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā hai
bhuul jaatā hai zamīñ se hī nazar aatā hai
aasman itni bulandi pe jo itraata hai
bhul jata hai zamin se hi nazar aata hai
-
Tag: Ghamand
Qita 11
IMAGE SHAYARI 12
apne har har lafz kaa KHud aa.iina ho jaa.uu.ngaa us ko chhoTaa kah ke mai.n kaise ba.Daa ho jaa.uu.ngaa tum giraane me.n lage the tum ne sochaa hii nahii.n mai.n giraa to mas.ala ban kar kha.Daa ho jaa.uu.ngaa mujh ko chalne do akelaa hai abhii meraa safar raasta rokaa gayaa to qaafila ho jaa.uu.ngaa saarii duniyaa kii nazar me.n hai miraa ahd-e-vafaa ik tire kahne se kyaa mai.n bevafaa ho jaa.uu.ngaa
mohabbat me.n bichha.Dne kaa hunar sab ko nahii.n aataa kisii ko chho.Dnaa ho to mulaaqaate.n ba.Dii karnaa
na paane se kisii ke hai na kuchh khone se matlab hai ye duniyaa hai ise to kuchh na kuchh hone se matlab hai