Wasif Dehlvi
Ghazal 18
Sher-o-Shayari 22
bujhte hue charāġh farozāñ kareñge ham
tum aaoge to jashn-e-charāġhāñ kareñge ham
bujhte hue charagh farozan karenge hum
tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge hum
-
Share this
- See Ghazal
kitnī ghaTā.eñ aa.iiñ baras kar guzar ga.iiñ
shola hamāre dil kā bujhāyā na jā sakā
kitni ghaTaen aain baras kar guzar gain
shola hamare dil ka bujhaya na ja saka
-
Share this
- See Ghazal
dīdār se pahle hī kyā haal huā dil kā
kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir
didar se pahle hi kya haal hua dil ka
kya hoga jo ulTenge wo ruKH se naqab aaKHir
-
Share this
- See Ghazal
halkī sī ḳhalish dil meñ nigāhoñ meñ udāsī
shāyad yūñhī hotī hai mohabbat kī shurūāt
halki si KHalish dil mein nigahon mein udasi
shayad yunhi hoti hai mohabbat ki shuruat
-
Share this
- See Ghazal