Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yusuf Azmi's Photo'

Yusuf Azmi

1944 | Hyderabad, India

Sher of Yusuf Azmi

palkeñ haiñ ki sargoshī meñ ḳhushbū safar hai

āñkhoñ ḳhamoshī hai ki āvāz chehra

palken hain ki sargoshi mein KHushbu ka safar hai

aankhon ki KHamoshi hai ki aawaz ka chehra

maiñ vaqt ke kohrām meñ kho jā.ūñ to kyā ġham

DhūñDegā zamāna mirī āvāz chehra

main waqt ke kohram mein kho jaun to kya gham

DhunDega zamana meri aawaz ka chehra

paanī maujoñ pe likkhī hai lamhoñ be-rūh kahānī

kyā paayā hai kyā khoyā hai maiñ sadiyoñ se khoj rahā huuñ

pani ki maujon pe likkhi hai lamhon ki be-ruh kahani

kya paya hai kya khoya hai main sadiyon se khoj raha hun

simTe rahe to dard tanhā.iyāñ milīñ

jab khul ga.e to dahr rusvā.iyāñ milīñ

simTe rahe to dard ki tanhaiyan milin

jab khul gae to dahr ki ruswaiyan milin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now