Sher of Yusuf Jamal
qātil to siina taan ke chalte rahe yahāñ
jo be-gunah the un se havālāt bhar ga.e
qatil to sina tan ke chalte rahe yahan
jo be-gunah the un se hawalat bhar gae
jab maiñ kachchā phal thā to mahfūz thā maiñ
ab jo pakā to mujh pe nishāna lagtā hai
jab main kachcha phal tha to mahfuz tha main
ab jo paka to mujh pe nishana lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt kī mahrūmiyoñ ne chhīn lī merī zabān
varna ik muddat talak maiñ lā-javāboñ meñ rahā
waqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zaban
warna ek muddat talak main la-jawabon mein raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pūchhe jo zindagī kī haqīqat koī 'jamāl'
to chuTkiyoñ meñ ret uḌā kar use dikhā
puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamal'
to chuTkiyon mein ret uDa kar use dikha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baunā thā vo zarūr magar is ke bāvajūd
kirdār ke lihāz se qad kā buland thā
bauna tha wo zarur magar is ke bawajud
kirdar ke lihaz se qad ka buland tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
DhūñDte ho kyuuñ jalī tahrīr ke asbāq meñ
maiñ to kohre kī tarah dhuñdle nisāboñ meñ rahā
DhunDte ho kyun jali tahrir ke asbaq mein
main to kohre ki tarah dhundle nisabon mein raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download