Sher of Yusuf Taqi
be-sadā kyuuñ guzarte ho āvāz do
ab bhī kuchh log andar makānoñ meñ haiñ
be-sada kyun guzarte ho aawaz do
ab bhi kuchh log andar makanon mein hain
dekhā to zindagī meñ bahut kāmyāb the
sochā to jiit aa.ī nazar maat kī tarah
dekha to zindagi mein bahut kaamyab the
socha to jit aai nazar mat ki tarah
aao purānī yaad ke sho.aloñ meñ taap leñ
kitne haiñ haath sard mulāqāt kī tarah
aao purani yaad ke shoalon mein tap len
kitne hain hath sard mulaqat ki tarah
ai paḌosī tū batā ham ko to kuchh hosh nahīñ
thā hamārā bhī koī ghar tire ghar se pahle
ai paDosi tu bata hum ko to kuchh hosh nahin
tha hamara bhi koi ghar tere ghar se pahle
shab palañg par hāñpte saa.e rahe
ḳhvāb darvāze khaḌā taktā rahā
shab palang par hanpte sae rahe
KHwab darwaze khaDa takta raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khāñstī maddham sī ik āvāz jab se kho ga.ī
ġhairiyat kī bū se mahkā mujh ko apnā ghar milā
khansti maddham si ek aawaz jab se kho gai
ghairiyat ki bu se mahka mujh ko apna ghar mila